मंगलवार, 15 नवंबर 2011

Prajatantra ka Panchtantantra


*Prajatantra Ka Panchtantra

Aaj se kuch 3 Maah poorv ek film aayi thi, Jiska nnam tha “ Chala Mussadi Office Office”. Uske ek drishya mein jab Nayak apne zinda hone ke saboot dhundate va Sarkaari tantra se pareshan hokar ‘India Gate’ pe baithkar chintan kar raha hota hai, usi samay saare shahar ki bijli chali jaati hai aur uske daamad dwara kaha jaata hai ki- “ AAj sare shahar ne 10 minute ke liye bijli babd kiya hai taaki aane waali pidhi ke liye bhi kuch chhut sake.” Is prakriya ko aam Aadmi ki jubaan mein Sustainable Development kehte hain. Aane waali pidhi ko hum kya dena chahta hain? Koi tohfa ya Abhishaap? Khagolshastriyon tatha Darshanshastriyon ki mane toh Dharti par abhi 13,00,000 varsh jeevan shesh hai arthaat abhi bahut pidhiyaan aana baanki hai. Is vartamaan pidhi ne sirf upbhog kiya hai, ujara hai; kuch diya nhi hai, diye hain to sirf badnaam udaharan. Jiska ek naam hai – Bhrashtachar. Kabhi Sudama ne Dwapar Yug mein Shri Krishna ke hiss eke chane khaye the, parinaamswaroop use bhari daridrata dekhani pari thi. Aaj toh sab yahi kar rahe hain. Sarkaari tantra se lekar Chakri tantra sab ek doosre ke hisse noch rahe hain. Bhrashtachar koi naya mudda nahi hai na hi yeh nayi samasya hai yadi kuch naya hai to who hai ise mitane ka josh. Jise dekhkar Mujhe hansi cum Taras aata hai. Abhi-abhi ek film aayi hai ‘Rock star’, jiske ek geet ke bol hain-“Kyun sach ka sabak sikhaye, jab sach sun bhi naa paye. Sach koi bole toh tu, Niyam Kanoon bataaye.” Kya galat hai? Aaj har mantri shapath graham karne se poorv ye kahtaa hai ki Samvidhaan ke har vidhi ka who paalan karega tatha Prashasanhit mein kaarya karega, yah baat kahaan tak sach hoti hai, iske sakshi 119 Crore Bhartiya hain. Nahin-Nahin Mujhme Gk ki kami nahin hai, balki 1 Crore log to rajneeti se hi jure hue hain jo uprokt geet ki tarah kaarya karte hain. Bhrashtachar koi kritya, Takneek ya kriyakalap nhi hai varan ek sonch hai. Ghar mein Apne pita ke paanv na chhune se lekar Ghar ke bahar logon ke paanv khichne tak har cheez bhrashtachar hai. Is samasya ka koi samadhan nahi hai. English mein ek kahaavat hai ki Prevention is better than cure parantu Bhrashtachar ke liye na to koi prevention bana hai na hi Cure. Koi bhi kanoon kisi ko apne pita ke charan sparsh karne ko vivash nahi kar sakta na hi bharat mein bahwan ko Prasad na chadhane ke liye, na hi Apne Parosi ke unnati se Jalne se, na hi Class mein teacher ke mazak ko aur na hi bade se bade ghotalon ko. Janlokpal bill sirf ek rasta hai,  aropiyon ko saja dilaane ki. Yadi koi bill ya kanoon saja ki dar se aparadh ko rok paate toh Aaj bharat ke sabhi jail Kaidiviheen hote. Sach to ye hai ki Insan jo chahega, wahi karega aur nirantar wahi karta rahega. Halanki vishwa tantra ke bhrashtachar ke maapak alag hain- wo Asabhyata, Kusanskriti, Pradushan aadi ko sammilit nahin karta warna jo soochi  Europe, North-South America aur Australia mahadwip se vanchit hain, who inse bahr jaate. Parantu Quantitative bate sadaiv Qualitative baton se halki hoti hai. Sach to yahi hai ki manushya ki asabhyata ne hi bhrashtachar ko janm diya hai aur wo Asabhyata hai – Moh.  Moh; Daulat va shohrat ki. Wahi moh jisne Kaikayi ko ek kutil maa bana diya toh Dhritrashtra ko ek  Asahay raja. Is asabhyata par Raj Kapoor dwara abhineet-Nirdeshit film “ Shree 420” ka ek samwaad achi tarah fit baithata hai- “ Suna hai ki insaan kabhi Bandar hua karte the lekin paison ki lalach ne inhe kutta bana diya hai.” Insaan gira tha, gira hai aura age aur girega. Na uski jarurate khatm hongi , na hi moh aur na who Asabhyata. Aur jab tak asabhyata rahegi bhrashtachar rahega . Sirf rajnetaon tatha sarkaari karmchari hi bhrasht nahin hai, balki ye toh ‘Corrupted Peoples’ naamak folder ke thumbnail hain. Thumbnail banne ke liye varshon purana anubhav  tatha mehnat chahiye, jisme toh inka ek Ati-Sunahar Itihaas raha hai.

                        Insaan ne apne maayne badal diye hain, bhrasht Main bhi hoon kyonki main bhi kisi ko bura kah raha hoon. Parantu samaj utthan ke liye kiya gaya paap, kadapi paap nahi hota, ye toh ek galti hai. Jee haan, galti to hai kai baar ye galti maut ban kar aati hai to kabhi  maut se badtar saza. Kabhi-kabhi kuch nahi hota aur  jab jab kuch na ho, samajh lijiye ki aap har gaye……...     

कोई टिप्पणी नहीं: