Swatantra Bharat ki sabse badi samasyaein ginne ka khel khelte hain ,kitni ginwa sakate hain ,Aap swatrant hain ,phir kya tha khiladi manchasin neta ban gaye aur main Bhu-patal par baithi wo bhid jo pata nahi netao ke wade kyon sunte hain.Ek-ek kar khiladi aate gaye aur smasyaye ginwate gaye aur main us madhosh bhid ki tarah taliya gargarata raha. Jaatiwad, Bhashawad, Prithkkatawad, Jurm, Berojgari, Bhrastachar, Aatankwad, Naxsalwad ………..aur na jane kya –kya par ek aisa nam aya ,jispe tali nahi baji balki bhauhen chad gayi ,pucha-e kya bol rahe ho . jawab mila –janab wahi jo aap ke kano ne suna ,ji ha swatrant bharat ki sabse badi samasya he –andolan.wo andolan jo putra saman janta ko pita saman sarkar ke viruddh khada kar deta he .Me bhi chillaya phir to samasya loktantra hui jisme pita bhi putra kip urn sahmati se banta he .aur yadi loktantra pita chunne ka adhikar deta he to uske duskratya ke viruddh aawaj uthane ka bhi to adhikar deta he. Kab tak adhikaro ki duhai dekar us satya se bhagenge ki pita ji ne jo kiya,uske liye hamne prerit kiya tha. Pita kaam naa kare to Tunda aur Kaam kare to Gunda. Sarkaar ke virruddh aawaz uthana galat nahi hai par us awaaz ko Aandolan banakar Dangal ka rup de dena galat hai.
Aaj yadi Mareez Aspataal mein mar jae to Doctor ke viruddh Andolan, Baccha school mein fail ho jae toh Vidyalay ke viruddh Andolan, Pyaaz ke daam badh jae yaa Fasal kide kha jaen toh Sarkaar ke viruddh Andolan. Janta ko awaaz uthane ka adhikaar hai, Shor machine ka nahi. Jyada ho-halla karne se Paryavaran mein dhwani Pradushan bhi hota hai aur gala bhi kharab hota hai. Maine bhi khandan karte hue kaha ki Gala kharab hona, Dimaag kharab hone se toh accha hai. Yadi Sarkaar ke viruddh Awaaz na uthaya jae toh Wo Shaitaani rooh Aam Janta ke kaleje par chadhkar Ardhnang Taandav karenge. AAkhir us Prashasan ko Sushasan mein badalne ki jimmedari toh hamari hi hai. Phir wo khiladi bhi tamtama utha aur mujh par Satire smile maarte hue bola Kya baat hai, Aisa Insaan desh badalne ko kah raha hai jo ek din mein naa jaane kitni baar Sarkaar ke Niyam todkar Apne Zameer ko latarta hai. Khud ke kaledhan ko Mahadhani mein chhupakar rakhta hai aur jab ek Sanyasi Sarkaar ke viruddh us mudde par awaaz uthata hai toh uske bhid mein sharikh ho kar taaliyaan bajaata hai. Khud ki sampatti ka lekha-Jokha nahin aur RTI mein ManMohan Singh par claim karta hai. Sabji kharidte waqt Gaddari, Naukari karte waqt gaddari, Masale kharidte waqt gaddari, din bhar gaddari karne ke baad Raat ko Prime Time mein khabrein dekh kar Khoon ko khaulata hai aur phir chup-chaap jaa kar so jaata hai taaki phir agle din gaddari kare.Ye hain hum Bhartiya jo apne Zameer se Gaddari karte hain aur phir Internet par twit karte hain “ IT’S TIME TO CHANGE INDIA’s DESTINY”. Sharm aani chaahiye hame aisa karte hue, Yadi hum Videsh jaa kar apna dhan jamaa nahi karte to aaj Baba SHauk se Yog sikha rahe hote aur Sarkaar shasan chala rahi hoti. Lekin kya kare humko aadat jo hai apne gunaah ke liye dusron ko peesne ki, aur janm den eke baad bina pale maar dene ki , har kadam par darte jo hain hum aur Darpokon ka desh kabhi aabad nahi hota. Gunahgaar apni gunaah kabulata nahi aur Sarkaar ko lataar laga dete hain, kyonki darr mein Sarkaar se accha bakra milta kahan hai? Isliye use Aandolan ka naam dekar hum bhadaas nikaal lete hain. Jiyo mere Bhartiyon Jiyo, Acchi aadat hai Andolan ki, Aakhir haq hai tumhara, uske naye-naye dhang paida karte raho………
Bas itna sunne ke baad meri chadhi bhauhein utar gayi aur man hi man bola ki sahi to hai Main kahan Desh ko Jagaane nikla tha pehle khud toh jag jaaon.
By: Ankit Jha
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें