Abhi kuchh mahino pahle ki hi baat hai jab ek ajeeb sa SMS padha tha jisme ek sawaal puchha tha ki “ INDIA KYA hai?” Yah Sawaal toh Prashna ke rup mein ‘Ved Vyas’ ne bhi poocha, Ibaarat ke rup mein Akbar ne bhi poochha aura b SMS ke rup me ‘Hindustani’ pooch rahe hain. Alexender The Great ke senapati ki beti “Karnelia” jo Gupt Vansh ki pratham Maharani banin, Unke Anusaar Bharat- Teen ore se Sagaron se ghira ek aisa desh hai, jiski Sanskriti Duniya ko apne ore khinchti hai. Wahin Akbar ke Ibaarat ka khud unhone Jawaab diya ki “Bharat ke logon par Hukoomat nahin balki unke saath jeene ka dil karta hai”. Toh aaj ke SMS ka answer suniye-“ India aisa desh hai jahaan Pizza, Police ki gaadi aur Ambulance se pahle pahunchti hai, Car loan 4% pe aur Education Loan @12% pe milta hai, Election mein jeetne wala M.P. banta hai aur Election na ladne wala Direct P.M, Mandir mein Durga ko Bhagwaan kahte hain aur Aspataal mein usi ki Swaroop Betiyon ko janm ke poorv hi maar diya jaata hai.
Yeh teen jawaab ya kahein Bharat ki teen alag-alag kaal ki hain. Karnelia ne jahaan Prachin kaal ke Bharatvarsh ko paribhashit kiya, Wahin Akbar ne Madhyakaal ke Hindustaan ko aur SMS ke jariye India ko. Bahut jaldi samay badla hai, Samay ke saath desh bhibadla hai aur desh ke log bhi. Pahle hum VishwaGuru kahlaaya karte thein, Phir Sone ki Chidiya kahlaae aur ab Developing Nation kahlaya karte hain.
Bharat ki ye sthiti Anayas hi nahin hai, 200 se bhi adhik varshon tak Angrejon ne hum par raaj kiya aur ab Rajneta raajkar rahein hain. Ek aur Tathya jo SMS ke sawaal ke jawaab mein nihit nahin thaw ah ye ki Olympic aur World Cup mein jeetne wale khiladiyon ko 2-5-10 crore rupaye milte hain, Khel Ratna milta hai, 21 years se Cricket khel rahe Khiladi ke liye Bharat-Ratna ki maang chal rahi hai parantu 26/11, Dantewara Hamla va kain anya Dhamakon mein Shahid hue Jawaan ko Lakh-2 Lakh mil jaate hain aur 40-45 varshon se vibhinn vibhagon mein karyaratt Sarkari Mulazim jo desh ke vikaas aur Prabandhan mein kisi Khiladi se adhik Bhoomika nibhata hai unke liye Bharat-Ratna toh dur, Heere ki haar ki maang bhi kisi ne kabhi nahin ki. Ajeeb vivashta hai ki is desh mein aisi Loktantra hai ki Kisi ki aukaad bhi Janta hi Tay karti hai.
AbPrashna-Ibarat-Sawaal aur Uttar-Jawaab-Paribhasha ka daur samapt karte hain, rai ki maang karte hain. Akhir Bharat hai kya hai? 121 Crore logon ki rai toh nischit hi kafi hai Bharat ko Par Paribhashit karne ke liye. Humein Bharat ki Paribhasha dhundane ki awashyakta hai, kyonki kise sahi kahen -Videshi Kan Karneliya, Mughal Akbar ya Pure Indians ko. Sirf itna jawaab den dena hoga ki-
Wats India?
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें