AAj shaam jab Internet par apna blog likhne baitha to shre karne ke liye kuchh khas nahin tha. Wastutah " Sansar mein har prashna ke paanv Zameen mein gahre gare hote hain" aisa Shri Hari Shankar Parsai ji ne kaha hai, Antatah wah paanv maine ukhad hi phenke, Pahle soncha ki phir se us jwalant mudde ko bhadkaun lekin peechhe hat gaya ki kab tak isi se sab ko bore karoon, bore to nahin uba zarur doonga. Din bhar NEWS channel walen kya kam peechhe pade rahte hain. Bahut saari muddon ko bharkaane se accha mujhe jwala sulgana laga, woh tha Bhartiya Samaaj ke Sabse bade Dharohar ka din-pratidin Videshi sanskriti ke samaksh NIRWASTRA hona. jab bhartiya cinema itihaas ke 12th varsh mein hi Devika Rani aur Himanshu Rai ne pratham ch**** drishya diya tha to ise lekar bahut bawaal hua tha Aur 4 varshon tak cinema ko Samaaz ke liye shaap va kalank maana gaya. Yadi Dada sahab, Salil Chaudhary, Guru Dutt na hote toh ye aaj bhi kalank hi hota. Bhartiya Samaaj ki bhi ajeeb Avdharna hai ki kuchh cheejon ko kabhi jagjaahir nahin karti parantu kuchh cheejon ko shauk se jagjaahir karti hai. Aaj "Saahitya" nahi "Cinema" samaaj ka aina hai aur Sangeet uska kaanch, Samaaj mein Sangeet ko janm dene wale "Wazir Mohammed Khan" saheb ne kabhi ye soncha bhi naa hoga ki unki agli peedhi sangeet ke naam par wo padosegi jise Saamajik Granthon mein ek naam diya gaya hai "ASHLILTA". Raj Kapoor ke film " Mera Naam Joker" mein Paddmini par filmaya gaya gaana Ang Lag Jaa Balma' bhi iska hi ek udaaharan hai, us samay koi censor nahin tha aur na hi You Tube tha isliye jisne film dekhi usine anand liya aur paya ki Ashlil kya tha, phir aaya KIshore Kumaar dwara gaaya gaya film Aradhana mein Rajesh Khanna Va Sharmila Tagore pe filmaya gaya " Rup tera mastana" is gaane ko sangeet maryadaon ka vinaashak naa kahein to kya kahein? Isi tarah ye kram aage badgta raha, aurhar baar kuchh jyaada tutata gaya. "21st sadi" ke sangeet ne us adhmari atma ke bhi gale ghontane shuru kar diye. Apne Sangeet ke tapobal se Varsha karwaane aur Diya jalaane wale "Taansen" ne kabhi ye soncha bhi nahi hoga ki sangeet se kabhi Remix judega aur sangeet ko naya banane ki zidd mein uska daah sanskaar kar dega. "Bhinge honth tere....., Bidi jalaile........., Shiela ki Jawaani........., va Raat akeli hai........" jaise gaane jahan Sangeet ke yatharth pe prahar kar rahein hain toh iske shabd us Shabdkosh se liye gaye hain jiske upar likha hua hai " EXPLICIT CONTENTS INSIDE". Ye sab yahin khatm nahi hua, 2011 mein aayi film 'DUM MAARO DUM' ke title song ne sangeet mein aastha rakhne walon ke aastha par prahar kiya toh wartamaan ka sabse prachalit gaana " BHAAG D.K. BOSE", us satya ko jhuthla deta deta hai ki "SANGEET SANSKRITI KE SUCHARUTA KA NAAM HAI". Sunane wale bewakoof nahin ki samajh naa paein ki kya kaha gaya hai? Bas itna samajh liya jaae ki haalat aur bigdegi.
Insaan Nirwastra bas 2 haalat mein hota hai, Atyadhik garibi mein yaa atyadhik raisi mein parantu AATMA sirf 1 baar Nirwastra hoti hai jab uski aatmaa nagn ho jaae. AAj samaaj ka yatharth Ashlil hai tabhi toh pichhale 10 saal mein bane lagbhag har Saamajik film ko 'A' certificate mila hai. Cinema hamaari sanskriti nahi hai parantu Sangeet hamari sanskriti hai jo janm va mrityu har cheez se judi hai. Isme in Tatwon ko milana apne Is DHAROHAR ko nirwastra karne se kam nahi hai aur hum apne Cheerharan par Taaliyan thonk rahe hain...........
From- Ankit Jha
Insaan Nirwastra bas 2 haalat mein hota hai, Atyadhik garibi mein yaa atyadhik raisi mein parantu AATMA sirf 1 baar Nirwastra hoti hai jab uski aatmaa nagn ho jaae. AAj samaaj ka yatharth Ashlil hai tabhi toh pichhale 10 saal mein bane lagbhag har Saamajik film ko 'A' certificate mila hai. Cinema hamaari sanskriti nahi hai parantu Sangeet hamari sanskriti hai jo janm va mrityu har cheez se judi hai. Isme in Tatwon ko milana apne Is DHAROHAR ko nirwastra karne se kam nahi hai aur hum apne Cheerharan par Taaliyan thonk rahe hain...........
From- Ankit Jha
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें