शनिवार, 11 जून 2011

Star '*' Bante jaa Rahen Hain "ANNA"

 Abhi us ghatna ko 2 mahine bhi nahi hue jab Jantar-Mantar par Andolan Senani 'ANNA HAZARE' ne lokpal bill ko Jan Lokpal Bill mein Parivartit karne hetu AAmaran Anshan kiya tha. Sirf 2 Mahine ke antaral mein us Anna Hazare ko jise aam bhartiya jaanta tak nahi tha, aaj unki awaaz ban gaye hain. "Bharshtachar Virodhi" karyon mein aaj wo agrani ban rahe hain.15 January 1940 ko Bhingar mein janme Anna ka shuru se hi Samaaj seva ke prati khinchav raha71 ke yuddh mein  bharat ko Sainya seva pradan karne wale Anna, apne aapko Gandhiji ka Uttaradhikari nahin balki pujaari maante hain.
                                     Jab Ramdev Baba ne unke kathit nakshekadam par chalte hue jab 'Ramleela Maidan' mein " Bhrashtachar Mitaao Satyagrah " ka Aahwan kiya to Bhartiya janata Anna ke samarthan ka intezaar kar rahi thi. Anna, jo ki 450 se bhi jyaada anshan ka record rakhte hain, ke samarthan se baba ke satyagrah ko janta ka samarthan mila aur yah anshan reefleshia ki phool kee tarah khila, vo alag baat rahi ki utni hi jaldi sarkar ne us phool ko todkar apne balon me saja liya , fir Anna ke har kadam par janta ki nazar rahi.Apne apko 'CIVIL SOCIETY' ka sadasya manne wale Anna ke har kadam ko janta ka saath mila aur woh samajsevi se 'bhrastachar virodhi' Brand ban gaye . Yeh brand ab dhire-dhire dharatal par aa raha hai, asha hai ki 'Anna' apne sanskar aur adarsh nahi chodenge , kyonki aaj unki awaj janta ko jagati to hai par unki lalkar janta ko utni hi jaldi dara ke sula bhi deti hai.Bas itni guhar rahegi ki apne stardom ke josh me wo galti na kar baithe jo  Mithun chakraborty kar baithe aur dubte chale gaye , sahara mila bhi par ab tak bahar hi nikal rahe hai aur Anna ke paas to umra bhi nahi hai ................... 

कोई टिप्पणी नहीं: