शनिवार, 4 जून 2011

Sanyasi Ka Satyagraha

Aaj agar desh ke sabse bade mudde ki baat karen to nihsandeh wah Baba Ramdev , maaf keejiyega 'Param Pujya Swami Ramdev Ji Maharaj ka "Bhrashtachar Mitao Satyagraha" hi hai.Maine bhi socha ki is vishay par apne tark doon, lekin agle hi pal dharatal par aa gaya ye soch ke ki main koi 78 varshiya Raajneetik jjankaar nahin balki 17 varsh ka ek maasoom toh nahin par ek kishore hoon.Meri raajneetik va samvaidhanik samajh desh ke Thakuron itni to nahi par jitni hai , uske anusaar eksanyasi ka Andolan Ahwaan,usi tarah lagta hai maano Rupahale Parde ke kalakaar Khel ke maidaan par pasina baha rahe ho. Ittefak ki baat hai ki in dono ajoobon ko ek hi din hona tha, Ek taraf Dilli mein 1 Yogi yaa kahen Yogguru 1 kushal neta ki tarah desh ka haq maangane ke liye lakhon logon ke saath Satyagrah par baitha haitoh doosri ore Chakachaundh ki duniya ke sitaare maidaan par Cricket khelkar pasinaa baha rahen hai. Padhne wale sochenge ki in dono cheejon ka kya connection? Yun to connection Anna Hazare ke aamaran Anshan aur IPL ka bhi nahi tha phir bhi kai Samachar channel ka frontline feature hi " Anna Ya I P L" ban gaya tha, connection hai; prasiddhi ka. Cricket itna prasiddha ho raha hai ki cinemaai sitaaren bhi pasina bahaane se chook nahin rahe hain aur Bhrastachar ke viruddha Andolan itna prasiddha ho raha hai ki koi bhi Raajneetik khwaab dekhane wala karishmaai neta apni roti senkane se peechhe nahi hatna chahata hai. Ajeeb baat hai ki mujhe 9vi-10vi mein physics padhane wale Shikshak Baba Ramdev ke samarthan mein Krantikaari ban baithein hain to vigat 4 varshon mere sath padh rahin ladkiyaan mujhe Tweet kar ke kahti hain ki ' Jha ye Baba Vagairah Ka Tension Mat Le, Hume unse kya matlab hai?'
                 Ajeeb Baat hai ki, Anna va P.P.S.Ramdev ji maharaj ek taraf bhrashtachaar ke viruddha hamaari awaaz bulamd kar rahen hai aur hum apna munh band rakhna chaahaten hain.ise is desh ka durbhagya hi kahiye ki jab-jab humen kadam aagey badhane ke liye kahaa jaata hai usse bhi jaldi hum apne kadam peechhe hataate hain. T.V. ke saamne baithkar, haathon mein Remote lekar toh sab Krantikaari ban sakten hain, darshak deegha mein baithkar Taali bajaakar toh sab support kar sakten hain , Kabhi kuchh kar ke deekhayen tab samjhen ki sabhi ke Satyagrah sarthak hue.
                         Anyatha ye isi tarah prateet hota hai ki  neend se jaggane ke liye Lota bhar Paani toh daal diya, Ankh bhi khuli par neend itni tez thi ki Waapis aankh lag gayi ,    baar- baar toh koi paani daalne nahi aaega kyonki Dharti par Paani Ki bhi kami ho rahi hai aur aankhen badhati jaa rahi hain....................
                           

कोई टिप्पणी नहीं: