गुरुवार, 9 जून 2011

Jale se Koyle ki Khoj

Har ghatna ko muddey mein pariwartit karna, Bhartiya hi nahi waran vishwa Raajneeti ki aadat hai. Bacche ke gaddhe mein girne se lekar Yuvati ke aasmaan ghumne tak har cheez antatah ek chunawi mudda ban kar rah jaata hai. Ye baatein isliye mahatva rakhtin hain kyonki " Baba Raamdev ke Satyagrah Daman ke bheeshan aag ke paschaat desh bhar ki har chhoti-badi raajnaatik dal va uske har chhote-bade neta us Raaakh ki dher va kuchh jagah sulagate chingari mein se Koyla dhundh nikaalen.Ek taraf Baba Ramdev ke kandhe par Bandook rakh kar BJP danadan bayaanon ki firing kiye jaa rahi to Congress bhi un goliyon se aahat hone ke bajaae uske baarud se bam banaa kar aur zordaar dhamaake kar rahi hai. Iss Yuddh ko dekh kar mujhe 80 ke dashak ke dauraan chale Raamayan, ke yuddh ke drishyon ki yaad aa gayi, jab ek, dusre ki waar ko katta to hansta aur khud ke waar katne par chaunkataa. AAj jab Sarkaar aur Vipakch ki nak-jhonk dekhi toh raha nahi gaya, Vipaksh ki neta jab  deshbhakti gaanon par thiraktin hain to congress ke neta chutki lete hain, Congressi ke bayaan ko B.J.P ke Prawakta ne kaata, phir antatah wo ho hi gaya, jiska mujhe andesha ya kahen darr tha. Lagbhag 5 baje beeti sham ko ek Anjaan jiska naam Sunil Kumaar bataya gaya, Congress Mahasachiv Janardan Dwiwedi par Joota lekar chadh gaya, Hamala tal gaya par Baba 2 din ke baad muskuraye toh. Is muskurahat ne bahut saari baatein spasht kar din, lekin usse bhi jyaada prashna khare kar diye. Kya chahtein hain Baba- Unki Jeet ya Sarkaar ki haar Ya desh mein shanti? Baba ki utkat Jeejivisha unke Sanyaasi va Satyagrahi donon hone par Prashna khari karti hai? toh phir kya kaha jaae ki - ki har jale se koyla nikaalana jaruri hai, kabhi to use rakh ban jaane do taaki use khet mein chhirakkar use upzaau bana sake, kahin aisa naa ho ki us aag se koyla nikkalte samay haath jal jaae aur koyla koi aur le jaae.............

कोई टिप्पणी नहीं: