AAj Main Azad Hun!!
Jab jab azadi ki baat karta hunt oh Chandrashekhar Azad
ki jeevani “Diya Salayi” ke kuch vakya yaad aate hain jo kuch is prakar the-
“Azadi kise acchi nahin lagti? Chahe wah rassi mein bandha pashu ho ya pinjre
mein kaid Panchi, sabhi ghulami ki apni wo zanjeer tod phenkana chahte hain.
Phir hum toh sadharan manushya hain.”
Jis din ghulam ko apne ghulami ka
ehsas ho jata hai us din se usme azadi ki bhookh aa jati hai. 15 august 1947 ko
bharat swatantra ho gaya, pichle 1000 varshon ki paradhinta se. ab hu
poornataya apne the. Par kehte hain kisi cheez ki ahmiyat ya toh use pahle hoti
hai ya uske baa dhoti hai, us dauran nahin. 90 varshon ki swatantra sangharsh,
anginat shahidi, saikaron andolan, bejod aakrosh wa sangathit rajneeti ke
parinamswaroop humein yeh azadi naseeb hui. 65 varshon mein kitna kuch badal
gaya, Mahatma Gandhi ki jagah Sonia Gandhi ke faisalon ka intezar,
Hindustaan-pakistaan ki jagah Bhartiya-Gair Bhartiya Muslim, Bahut kuch badal
gaya hai Awara Raj Kapoor ab Rockstar Ranbir Kapoor ban gaye wa Ashok Kumar ab
Akshay Kumar. Yadi kuch sabse jyada badla hai toh who hai logon ke sonchne ka
nazariya. Ab azadi ka jashn nahi manta, chhutti ka manta hai. Logon ke liye
Azadi ke kya mayne hain? Yah gambhir prashna hai. Azadi kitni vistrit hui hai
wa kitni vikrit? Mansikta azadi ke mayno ko kitni ahat kar rahi hai—sonchne
wali baat hai. Aksar hum azadi ko apni zidd samajh lete hain aur wahin se
rashtrapatan shuru hota hai. Bolne ki azadi hai toh kuch bhi kahin bhi bol do,
basne ki azadi hai toh kabza kar lo. Accha hai ki ek azadi nahin mili wo hai
sabhi faisale khud lene ki azadi. Anyatha is desh ki halat ka andaza lagana bhi
mushkil hota. Bhashayi janjaal wa sanskritik mayajaal se Azadi, Jeevansathi ke
sath basne ki azadi, samanantar chal ki azadi, apni vyatha sunane ki azadi aur
Rashtra ko sangathit karne ki azadi. Is swatantrata Diwas par mera yah prayas
rahega ki in sabhi azadiyon ka bhi yadi deshwasi labh utha pate, parantu aisa
nahin hai. Icchayein kabhi adhikar nahin ban sakti aur na hi asayein hamari
azadi……
Jai Hind…
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें