Desh Ka Neta Kaisa
Ho
-
Ankit Jha
Khel khel mein baat chali
ki desh ka neta kaisa ho ? Khel ki baat tab khel na rahi jab ismein desh aa gya
aur ismein Neta bhi aa gayein. Tabhi khel Toofan mail mein badal gayi, Jawabon
ki jhari lag gayi, Main kisi Samachar Channel ka mezbaan ban gaya aur mere
Sathi ban gaye GYAN ke BHANDAR ‘Jankaar’. Sabhi apni-apni baat, tark ke sath
rakhne lage. Pehla Jawaab aya jo Vaada na kare, Daava kare. Doosra jawaab aya
ki jo janhit mein Karya kar sake. Teeasra jawaab ki is neta ki jarurat kya hai?
Apne Neta hum khud kyon nahin ban sakte? Chauthe ne baat katte hue kahaa ki
Betuki baat hai, sab neta ban jaenge toh Praza kaun rahegi? Tark mein dum tha…. Sabhi nazar teesre wale ki ore.. “ Yeh
sahi hai ki shashan karne ke liye shashak ke sath-sath Praza bhi chahiye
parantu main toh neta banne ki baat kar raha hu. Shashak banne ki nahin.” Fark
kya hai?? Pahle wakte ka sawaal aaya. Jawaab spasht tha ki jiske liye Bahas
garmayi hai. Abhi Loktantra mein Shashak hain humein Neta chahiye. Jawaab ne
sabko saqte mein daal diya. Sonchne wali baat ye thi ki Neta aur Shashak van
eta mein Samaantayein toh pata nahin thi yahaan to bhed batana hai.. Pehla tark
Tatkshil tha—Chune toh humne Neta hi the, Parantu Sarkaari sonch unhe shashak
bana deti hai. Doosre wakte ne virodh karte hue kahaa- Kuch bhi tark de rahein
hain aap. Koi janm se neta nahin hota
uspar aayi Jimmedari use neta banati hai, ki un paristhitiyon ka samna who
kaise karta hai. “ Neta kisi chor ka naam nahin hai aur naa hi kisi unche ohde
wale Daitya ka. Baat desh ke neta ki ho rahi thi, Aksar desh ka neta koi
Rajneetik chehra hi lagta hai. Baat bhi usi ki chheri thi. Kya sadan-e-aam(Lok
Sabha, House of Commons) mein baithe Janpratinidhi acche nahin hain. Aisa nahin
hai, Hamaare paas acche netaon ki kami nahin hai, Phir Rajneetik vivashta ne
toh Bhishma Pitamah ko bhi itna vivasha kar diya tha ki apne Kul ki laaz ko
bhari sabha mein lutne se naa bacha sake the. Yadi who Sinhasan ki jagah ,
Rajya ki raksha ka vachan lete toh Itihaas kuch aur hota. Prashasan ne use
sabak liya aur aaj apne Kartavyon ke prati imaandari ki pratigya li jaati hai.
Wah Dwapar tha yah Kalyug hai. Yahaan kuch bhi Samanya nahin hai. Pratigya toh
le li par Pratigyabaddha hona jaruri to nahin hai. Yahi hain hamaare DEsh ke neta
thik Gaari ke Brake ki tarah, jo lagaa toh hai par jab tak jor naa do kaam
nahin karega. Pratigya li hai nibhana toh parega. Hamaare desh ke netaaon ki
yeh Vidambana hai ki Har jagah chhote-bare neta kundali mare baithe hain par
Fan taankar fufkarna sabko nahin aata… Jinhe aata hai who neta vishesh hain.
Kya
neta bas koi raajneetigya hi ho sakta hai? Aaj se koi 4-5 varsh poorva ek
Karyakram Prayojit hua tha- ‘Lead India’ jiska ek sandesh tha ki-“ Tum chalo
toh Hindustaan Chale”. Iska ek accha mudda tha ki har AAm Bhartiya mein ek neta
hai, isko har varg se netritva kiya gaya tha. Thik aisi hi baat main kar raha
hun. Anna dal ki baat galat nahin hai, yadi har Aam bhartiya apne andar ek neta
talaaash kar le toh Haalat use Taraash hi denge. Har varg ke neta, har vibhag
ke neta, har daur ke neta, har samaaj ken eta aur har rutbe ka neta. Dhani neta
Garib neta; bas Dalit aur Sawarna neta nahin, bas aur nahin.. Humein har maidan
ke neta ki jarurat hai, alag alag hi sahi. Taki phir koi prashna naa kare ki
Desh ka neta kaisa ho?? Wah swayam se yah nirnaya le le ki kya main is desh ka neta hun??
Har Daur ke Kafilon Ki Pehchan Mujhse hai, In wadiyon ki shaan mujhse hai Aane wale yug ke pankhon ki uraan
mujhse hai,
Is
Tirangen ki Beech ka nishaan mujhse hai….
Itna teesre wakte ne kahaa
hi tha ki Saara vaatavaran Taliyon ki gargarahat se gunj utha. Abhi toh humein
ek Dil pe asar dalne ki baat kar raha tha, yeh toh Dil lot kar le gaya. Uske
vipakshi bhi uska loha maan chuke the, unke aankhon mein haar ka bhi garv
jhalak raha tha. Phir maine use poocha ki ab agar apna naya naam rakhna hoga
toh kya rakhenge?? Uska uttar aaya-
SWAYAM. Main swayam se hu tatha swayam mujhse toh phir kya duvidha? Ab jahaan
bhi ye prashna ho ki Desh ka neta kaisa ho? Toh swayam se poochiyega…….. Aur
itna kah kar wah Nepithya mein chala gaya
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें