Yeh Koyle Ki AAg
Hai!!!
- Ankit Jha
‘Yeh Koyle ki aag hai
bloodyfool! Itni asani se nahin bujhti hai’ Aaj bhi Amrish Puri ki khunkhar
aawaz mein bola gaya ye samwaad jab kaan mein parta hai toh ek Yatharth prakat
ho jata hai. Ek pramanit satya hai ki Koyle mein lagi aag itni asani se nahin
bujhti, laptein kam ho jaye par wah Sulagti wa Dahakti rehti hai, Lal,
Nirantar, Kai der tak…..
Pataa nahin, Bramha Satya hamaare
Rajneeti ki pehchan kyon ban gayi hain. Pichle do saptaah mein jis mudde ne
desh ki shant ‘Mudda Bazaar’ ko garama kar rakha hai wah hai Koyla Khadaan
Vitaran par ‘Niyantrak wa Mahalekha Pradhikarak’ (CAG) ki report. Is report ne
samuche desh ko garama ke rakha hai. Din tha 17 August ka, Swatantrata Diwas k
ek din bad ka. Jab CAG ne sadan mein apni report rakhi jisme kuch mahino poorva
Sarkaar par Koyla Khadaan Awantan mein huye Mahaghotale ki baat kahi gayi thi.
Report pesh hui aur report ke sath samne aaayi desh ke ek aur Mahaghotale ka
sach. Kahte hain Sach karwa hota hai, Karwahat mein darasal ek Dahak hoti hai
aur wahi dahek samuche sadan mein chha gayi. Kahte hain Vipaksh ko aise hi aag ki pratiksha
rahti hai ki who us par Roti senk sake. Yeh roti senkana Vipaksha ka dharma bhi
hai aur Karma bhi. Geeta mein dharma ke Raksharth wa Karma ke Ruparth rahne ki
baat rahne ki baat kahi gayi hai. Yeh ghotala pramanit kiya gaya hai poore 1.86
Lac Crore ka. Raja wa Kalmari ke ghotalon se bhi Bara wa Bhayawah. Is aarop ko
sattadhariyon ne sire se naqaar diya. Na keh dene se shaq samapt nahin hota.
Vipaksh ne Pradhanmantri, jo tatkalin Koyla Mantralaya ka Karyabhar bhi SAmbhal
rahe the, se istife ki maang kar di. Ek ek kar baatein khulti gayin. Sadaa maun
rahne wale hamaare pradhanmantri abhi bhi maun the, sada ki tarah, sthir,
shithil, wa Maun. Unke pyaade bolte rahe. “Yadi Koyla Dharti Maa ki kokh mein
surakdhit hai toh ghotala kaisa??” ye kehna hai VittaMantri P. Chindabaram ka.
Sabhi netaon ne kuch na kuch kahaa.. Dhuaan sada wahin se nikalta hai jahaan
Aag lagi ho. Ab toh us aag ki pramanikta bhi ujagar ho gayi hai wa Imaandaar
Pradhanmantri ki majboor Beimaani bhi. Wah sadaa ki tarah shant hain aur
vipaksha ke prashnao se ghire hue. Wah
jawaab dene ko taiyaar hue, Vipaksh sansad ki karyawahi nahi chalne de rahi
hai. Teekhi bayanon ki baan hamare samaaj wa Garima ko nitya aahat kar rahi
hai. Pradhanmantri kuch kehna chah rahe the, Kahaa. Who Somwaar ko Janta ko
jawaab dene aaye, apna paksh rakhne aaye. Niji Companiyon ko khadan awantit karne
ka dukhra suna gaye aur CAG report ko hi sawalon ke ghere mein khara karke
chale gaye. “Hazaar Jawaabon se Acchi hai Khamoshi meri, Kain Sawalon ke aabru
samete huye.” Wah! Aisa laha mano Salma Agha apne Priyatam se dhokha khan eke
baad gham mein ghazal gaa rahi ho . ye jawaab, itne sawalon ko santushta nahin
karta, Pradhanmantri ya kahein tatkalin Koyla Mantri ghotale ke sakshi the aur
Karta bhi, phir yeh Parda kyun?
Ghotale ke is daur mein yadi ek ghotala aur jur gaya toh kya bigad
jaega? Sirf desh ghotalon ke naam par desh ko baddua de degi aur phir chunav mein meethe wadon ki lassi hath
mein utha lenge. Iska daur gujar chuka. Apne hath ka khel hai, jahaan muhar
lagegi, wahin se badlaaw shuru hoga.
Warna is tarah ke ghotale desh ki garima ko dehkaate rahenge…..
Tum toh thahre
Pardeshi, Kitni Mulakaton ke baad. Yeh
ghotalon ke daag dhulenge Na Jane kitni Barsaton ke baad.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें