♣HUM,TUM; HUMRAHI♣
Ek rah par chalne wale aksar Humraahi hi kahlate hain,ye alag baat hai ki disha kaun si he aur dasha kaun si? EK khabar abhi bade charche main hai ki kabhi samajsevi Anna Hazare ke sahyogi rahe Swami Agniwesh prasiddh TV Show “BIG BOSS 5” ke ghar me pravesh karenge wo bhi Ek pratiyogi ban ke. yah show isse pahle 4 saphal season pure kar chuka hai tatha kaiyon ko raton-raat prasiddh kar chuka hai. Parantu aaj tak swami ji jaisa koi bhi is ghar me pravesh nahi kar paya hai. Swami ji grihpravesh se purv diye apne sakshatkar mein ye kahkar ki “Big Boss ka ghar Sansad Bhawan se behatar hai. “Samuche Sansad Bhawan mein asantosh phaila diya.Kabhi -kabhi to ye sochata hu ki Samvidhan ne Desh ke logon ko jarurat se adhik aazadi de di hai, jo chahe kuch bhi bol deta hai. wasie aap ko kya lagta hai? Kahaan tak uchit hai Sansad Bhawan ki tulana Big-Boss ke us badnam ghar se? Tulna bhi ho rahi hai to kiske beech. Na to Amabedkar ji ne samvidhan taiyar karte waqt ye soncha hoga na hi Pandit Nehru ne sarvpratham Sansad ko sambodhit karte samay ye socha hoga ki Desh ke sarvsresth Milan-bhavan “Sansad Bhawan”ki tulna, samaj ke ek kusanskarit warg se saji-dhaji, 30crore ke banglaw se hoga jahan Nuclear Deal, Mahila bill, Janlokpal bill par charcha, bahas nahi hota balki Maa, Bahan wa nagnata ke naye aayam gadhe jate hain tatha chikh, chillahat, gaali wa ladai-jhagde hote hain. Swami ji ki hi tarah Anna hazaare ke August kranti ke dauran suprasiddh abhineta OM PURI ji ne bhi saansadon ko khari-khoti suna di thi. Pata nahi is Desh ke log “Sansad Bhawan” mein bheje apne pratuidhiyon se itni nafarat kyon karte hain? Wo jo hain hamare pratinidhi hain, Bhrasht hain; sab hain, Wo samne aate hain so badnam hain, jo samne nahi hote unhe Badshah kahte hain hum. Sharaab ke nashe mein choor vyakti hamesha sach nahi bolta haan Saansado ko lihaj rakhni chahiye parantu bhrasht Parshadon se pirit janta jab PM ke gireban pakde toh beech mein ek hi wyakti unke hath khichkar apni aur karta hain- Saansad.
In baton main Big Boss aur Swami ji ko toh bhool hi gaya. Swami ji Big boss ke ghar me pravesh kar chuke hain aur waha par sab ko jeene ki ada sikha rahe hain. Ek Swami agar chidiya ghar samaan Big boss ke ghar ko shant pustkalay tatha Museum bana sakta hain to ek accha Saansad bhi ye kar sakta hai. Sabhi cheez ka apna ek niyam hai, Saansadon ko bahas karne ki tankhwaah milti hai toh “BIG-Boss” ke pratiyogiyo ko ladne, gaali dene wa kahe anusar karne ki. GAADI chalti rahegi, Swami wa Om puri ko aise humrahi milte rahenge, to Sansad Bhawan ko bhi 64 salon se milte aaye hain aur aage bhi milte rahenge. Is beech mujh jaise chhutput lekhak in vishayon par likhte rahenge aur humrahi dhundhte rahenge.
Jai Hind!!!!!!!!!!!!!!
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें