मंगलवार, 28 जून 2011

Can India be a Sports Super Power?


Oh shit Saina lost, But she did well, Sania Ruled out of 1st round of wimbeldon, Paes-Bhupati also lost & Bopanna also lost, Aren't we very poor in Sports?A nation with 1.2 billion Population & in its population almost 60% are considered as young or youth has already astounded whole world by their charismatic growth in Economic or Financial Prospect’ or IT & Technologies, is slightly no more known as “The Land of Snakes & Hungers”  by westerns……….
    “THESE ALL ARE THE INTRODUCTION OF NEW 21st CENTURY INDIA.”
As India is getting remarkable improvement in almost every sector; One question just struck my mind WHY INDIA IS NOT IN THE LIST OF OLYMPICS MEDAL CHART or IN ANY OTHER INTERNATIONAL SPORTS EVENT AS CHINA or AUSTRALIA, AFTER HAVING THE ENORMOUS HUMAN RESOURCES? Why can’t we build a World Class Football team from 1.2 Billion of population which can compete in FIFA World Cups? Can’t we produce world class Tennis Players or Athletes? Why aren’t we able to maintain the prestigious history of our National Game Hockey? And ultimately Can India be a Sports Super Power?
All the above questions are very common after observing India’s poor condition in sports. Except, Cricket its presence in any sports at International level is not up to the mark. In India, we have enormous aspiring talents for every sort of sports but there are certain hurdles which delimit them to flourish or some systematic drawbacks in our country cause full stop. We don’t have any specific system or structure which is sincerely paying their heed towards the up gradation of sports in our country. Government also seems quite indifferent. Countries like Australia, Germany, U.S.A. & China are quite aware of this fact & they have so many governmental institutions whichare working sportsmen’s merits & demerits.
                    Like those countries in India also proper system must be structured with efficient administrations & result oriented policies. Youngsters who are interested in sports should be encouraged by our system. Our players should be facilitated as well like the IITians & IIM students then only we can get more Saina Nehwal, Sachin Tendulkar, Vishwanathan Anand  & Paes-Bhupathi etc. It is naturally a process which will take some time but then the result of this will be very fruitful and the dream of Indians to be a Sports Super Power can be seemed possible with many more ICC WORLD CUPS & 103 Medals in CWG.
              From pen of my brother : - Manish Jha
     Edited, Translated & Published by: Ankit Jha

रविवार, 26 जून 2011

My Name Is India:Aur Main Aisa Hi Hoon


Abhi kuchh mahino pahle ki hi baat hai jab ek ajeeb sa SMS padha tha jisme ek sawaal puchha tha ki “ INDIA KYA hai?” Yah Sawaal toh Prashna ke rup mein ‘Ved Vyas’ ne bhi poocha, Ibaarat ke rup mein Akbar ne bhi poochha aura b SMS ke  rup me ‘Hindustani’ pooch rahe hain. Alexender The Great ke senapati ki beti “Karnelia” jo Gupt Vansh ki pratham Maharani banin, Unke Anusaar Bharat- Teen ore se Sagaron se ghira ek aisa desh hai, jiski Sanskriti Duniya ko apne ore khinchti hai. Wahin Akbar ke Ibaarat ka khud unhone Jawaab diya ki “Bharat ke logon par Hukoomat nahin balki unke saath jeene ka dil karta hai”. Toh aaj ke SMS ka answer suniye-“ India aisa desh hai jahaan Pizza, Police ki gaadi aur Ambulance se pahle pahunchti hai, Car loan 4% pe aur Education Loan @12% pe milta hai, Election mein jeetne wala M.P. banta hai aur Election na ladne wala Direct P.M, Mandir mein Durga ko Bhagwaan kahte hain aur Aspataal mein usi ki Swaroop Betiyon ko janm ke poorv hi maar diya jaata hai.
       Yeh teen jawaab ya kahein Bharat ki teen alag-alag kaal ki hain. Karnelia ne jahaan Prachin kaal ke Bharatvarsh ko paribhashit kiya, Wahin Akbar ne Madhyakaal ke Hindustaan ko aur SMS ke jariye India ko. Bahut jaldi samay badla hai, Samay ke saath desh bhibadla hai aur desh ke log bhi. Pahle hum VishwaGuru kahlaaya karte thein, Phir Sone ki Chidiya kahlaae aur ab Developing Nation kahlaya karte hain.
           Bharat ki ye sthiti Anayas hi nahin hai, 200 se bhi adhik varshon tak Angrejon ne hum par raaj kiya aur ab Rajneta raajkar rahein hain. Ek aur Tathya jo SMS ke sawaal ke jawaab mein nihit nahin thaw ah ye ki Olympic aur World Cup mein jeetne wale khiladiyon ko 2-5-10 crore rupaye milte hain, Khel Ratna milta hai, 21 years se Cricket khel rahe Khiladi ke liye Bharat-Ratna ki maang chal rahi hai parantu 26/11, Dantewara Hamla va kain anya Dhamakon mein Shahid hue Jawaan ko Lakh-2 Lakh mil jaate hain aur 40-45 varshon se vibhinn vibhagon mein karyaratt Sarkari Mulazim jo desh ke vikaas aur Prabandhan mein kisi Khiladi se adhik Bhoomika nibhata hai unke liye Bharat-Ratna toh dur, Heere ki haar ki maang bhi kisi ne kabhi nahin ki. Ajeeb vivashta hai ki is desh mein aisi Loktantra hai ki Kisi ki aukaad bhi Janta hi Tay karti hai.
                       AbPrashna-Ibarat-Sawaal aur Uttar-Jawaab-Paribhasha ka daur samapt karte hain, rai ki maang karte hain. Akhir Bharat hai kya hai? 121 Crore logon ki rai toh nischit hi kafi hai Bharat ko Par Paribhashit karne ke liye. Humein Bharat ki Paribhasha dhundane ki awashyakta hai, kyonki kise sahi kahen -Videshi           Kan Karneliya, Mughal Akbar ya Pure Indians ko. Sirf itna jawaab den dena hoga ki
                                    Wats India?

गुरुवार, 23 जून 2011

DO WE DESERVE DEMOCRACY?

 AFTER HAVING THE 61+ YEARS OF SELF ADMINISTRATION, W HAVE DO NOT HAVE UNDERSTOOD THE MEANING OF DEMOCRACY (THE TYPE OF ADMINISTRATION SYSTEM OF INDIA)? WHAT ACTUALLY DOES DEMOCRACY MEAN? JUST A SYSTEM MADE & RULED BY CITIZEN OR SOMETHING ELSE?
                               DEMOCRACY SPELLS OUT IT AS A SYSTEM IN WHICH GOVERNMENT MEANS; REPRESENTATIVES, OF COUNTRYMEN WHO ARE ELECTED BY AN AUTHENTIC PROCESS, ACCORDING TO COUNTRY'S CONSTITUTION.
                                                               THIS SYSTEM IS CONSIDERED AS THE MOST PREFERRED GOVERNANCE SYSTEM THROUGHOUT THE WORLD.
INDIA IS THE LARGEST DEMOCRACY IN THE WORLD, NOTHING NEW TO SAY & EVERY INDIAN SHOULD PROUD OF IT & THEY ARE. BUT ON THE OTHER ASPECT, THIS TAG USUALLY DEFECTS THE GROWTH OF OUR OWN COUNTRY, HOW? LET ME EXPLAIN ......
                                           AS I HAVE DENOTED EARLIER, IN DEMOCRATIC SYSTEM PEOPLE ARE PRIVILLEGED WITH SO MANY EXCLUSIVE RIGHTS LIKE RIGHT TO SPEECH, RIGHT TO VOTE, RIGHT TO INFORMATION, RIGHT TO COMBAT & SO ON. (I AM NOT GOING TO CONSENT DEMOCRACY BUT JUST POINT MISUSE OF THIS SYSTEM.)
                                                                          IN PRESENT SCENARIO, ALL THESE CONSTITUTIONAL RIGHTS OF OUR COUNTRYMEN ARE CAUSING A HINDER IN THE DEVELOPMENT OF INDIA. POPULATION OF OUR COUNTRY HAVE ALREADY CROSSED 120 CRORE MARK & BY 2050, IT SEEMS THAT WE SHALL BE MOST POPULATED COUNTRY OF WORLD. AMONGST OUR COUNTRYMEN ABOUT 70% ARE CONSIDERED AS LITERATE(HERE LITERACY MEANS WHO CAN READ OR WRITE ONLY) & HALF OF THEM ARE ACTUALLY HIGHLY EDUCATED OR QUALIFIED. HERE, ONE THING I MUST CLEAR THAT A LARGE NUMBER OF OUR POPULATION ARE INDIFFERENT FROM THEIR OWN CONSTITUTIONAL RIGHTS OR I CAN SAY THAT THEY ARE NOT MATURE OR QUALIFIED ENOUGH TO UNDERSTAND THE IMPORTANCE OF USING IT. FROM HERE THE PROBLEMS BEGIN TO OCCUR, UNMATURED INDIANS TAKE RIGHT TO SPEECH AS THE MEDIUM TO SPEAK WHATEVER THEY WANT TO COMMENT, LIKE RAJ THAKREY & DIGVIJAY SINGH, RIGHT TO VOTE AS 50% OR 55% VOTING, MOREOVER TO CHOOSE THEIR FAVOURITE PARTY NOT TO CAPABLES, RIGHT OF INFORMATION AS THEY WANT TO KNOW THE PERSONAL PROPERTIES OF POLITICIANS & MOST SEVERE RIGHT TO COMBAT BLASTS AS THE WAY TO OPPOSE ALL THE GOVERNMENTAL POLICIES & TO FORM NAXALS & CIVIL SOCIETY.
WE ARE ENDOWED WITH CONSTITUTIONAL ON THE NAME OF DEMOCRACY BUT MOST OF THE TIME, OUR POPULATION USE THEIR RIGHTS TO DISTRACT THE GROWTH OF THE COUNTRY IN THE FORM OF 'BANDH', HARTAL,PROCESSIONS,CHAKKAJAMETC. & SO ON. WE CRUELLY DESTROY PUBLIC TRANSPORT, FIRE BUILDINGS, HARM OUR OWN CITIZENS & POLICEFORCE, WHY???????            BECAUSE OUR DEMOCRACY BESTOW US THESE RIGHTS, WITHOUT CONSIDERING A FACT THAT WHOM WE ARE HURTING OR HARMING. ACTUALLY WE CAN'T, BECAUSE WE ARE NOT DELIBERATE ENOUGH. IS THERE  ANY SUCH CASE IS TOLERABLE IN OUR NEIGHBOUR COUNTRY 'CHINA', SIMPLE ANSWER IS 'BIG NO' BECAUSE THEIR CONSTITUTION DO NOT ALLOW SUCH RIGHTS TO THEIR SILLY CITIZENS WHO ARE  NOT MATURED THAT'S WHY CHINA IS FAR AHEAD THAN US IN THE TERM OF DEVELOPMENT, NOT ONLY IN ECONOMICALLY BUT ALSO SOCIALLY.
                    COUNTRIES LIKE U.S.A., JAPAN, U.K.DO ALSO HAVE DEMOCRACY & THEY ALSO PROVIDE SOME CONSTITUTIONAL RIGHTS TO THEIR PEOPLE BUT SCENARIO IS DIFFERENT IN TERMS OF THEIR CITIZEN'S LITERACY & MATURITY. A COACHMAN & SERVANT THERE TALKS OF BILLS & GDP & AN IITian HERE DONOT KNOW WHAT ACTUALLY DOES G.D.P. MEAN. THOSE COUNTRIES HAVE 90-95 & EVEN 100% OF LITERACY RATE & ARE MORE CONCERNED TO GROWTH.
                                                                             WITHOUT KEEPING A SINGLE PERCENT DOUBT IN MIND, I MUST ASSERT THAT DEMOCRACY IS THE BEST FORM OF ANY GOVERNMENT BUT ONE QUESTION TO ALL MY BELOVED, RESPECTED & RESPONSIBLE, SO CALLED PATRIOTIC & DAILY ROUTINE ACTIVIST COUNTRYMEN-----------------
  " DO WE REALLY DESERVE  DEMOCRACY?"

बुधवार, 15 जून 2011

Kitna Uchit Hai Andolan


Swatantra Bharat ki sabse badi samasyaein ginne ka khel khelte hain ,kitni ginwa sakate hain ,Aap swatrant hain ,phir kya tha khiladi manchasin neta ban gaye aur main Bhu-patal par baithi wo bhid jo pata nahi netao ke wade kyon sunte hain.Ek-ek kar khiladi aate gaye aur smasyaye ginwate gaye aur main us madhosh bhid ki tarah taliya gargarata raha. Jaatiwad, Bhashawad, Prithkkatawad, Jurm, Berojgari, Bhrastachar, Aatankwad, Naxsalwad ………..aur na jane kya –kya par ek aisa nam aya ,jispe tali nahi baji balki bhauhen chad gayi ,pucha-e kya bol rahe ho . jawab mila –janab wahi jo aap ke kano ne suna ,ji ha swatrant bharat ki sabse badi samasya  he –andolan.wo andolan jo putra saman janta ko pita saman sarkar ke viruddh khada kar deta he .Me bhi chillaya phir to samasya loktantra hui jisme pita bhi putra kip urn sahmati se banta he .aur yadi loktantra pita chunne ka adhikar deta he to uske duskratya ke viruddh aawaj uthane ka bhi to adhikar deta he. Kab tak adhikaro ki duhai dekar us satya se bhagenge ki pita ji ne jo kiya,uske liye hamne prerit kiya tha. Pita kaam naa kare to Tunda aur Kaam kare to Gunda. Sarkaar ke virruddh aawaz uthana galat nahi hai par us awaaz ko Aandolan banakar Dangal ka rup de dena galat hai.
 Aaj yadi Mareez Aspataal mein mar jae to Doctor ke viruddh Andolan, Baccha school mein fail ho jae toh Vidyalay ke viruddh Andolan, Pyaaz ke daam badh jae yaa Fasal kide kha jaen toh Sarkaar ke viruddh Andolan. Janta ko awaaz uthane ka adhikaar hai, Shor machine ka nahi. Jyada ho-halla karne se Paryavaran mein dhwani Pradushan bhi hota hai aur gala bhi kharab hota hai. Maine bhi khandan karte hue kaha ki Gala kharab hona, Dimaag kharab hone se toh accha hai. Yadi Sarkaar ke viruddh Awaaz na uthaya jae toh Wo Shaitaani rooh Aam Janta ke kaleje par chadhkar Ardhnang Taandav karenge. AAkhir us Prashasan ko Sushasan mein badalne ki jimmedari toh hamari hi hai. Phir wo khiladi bhi tamtama utha aur mujh par Satire smile maarte hue bola Kya baat hai, Aisa Insaan desh badalne ko kah raha hai jo ek din mein naa jaane kitni baar Sarkaar ke Niyam todkar Apne Zameer ko latarta hai. Khud ke kaledhan ko Mahadhani mein chhupakar rakhta hai aur jab ek Sanyasi Sarkaar ke viruddh us mudde par awaaz uthata hai toh uske bhid mein sharikh ho kar taaliyaan bajaata hai. Khud ki sampatti ka lekha-Jokha nahin aur RTI mein ManMohan Singh par claim karta hai. Sabji kharidte waqt Gaddari, Naukari karte waqt gaddari, Masale kharidte waqt gaddari, din bhar gaddari karne ke baad Raat ko Prime Time mein khabrein dekh kar Khoon ko khaulata hai aur phir chup-chaap jaa kar so jaata hai taaki phir agle din gaddari kare.Ye hain hum Bhartiya jo apne Zameer se Gaddari karte hain aur phir Internet par twit karte hain “ IT’S TIME TO CHANGE INDIA’s DESTINY”. Sharm aani chaahiye hame aisa karte hue, Yadi hum Videsh jaa kar apna dhan jamaa nahi karte to aaj Baba SHauk se Yog sikha rahe hote aur Sarkaar shasan chala rahi hoti. Lekin kya kare humko aadat jo hai apne gunaah ke liye dusron ko peesne ki, aur janm den eke baad bina pale maar dene ki , har kadam par darte jo hain hum aur Darpokon ka desh kabhi aabad nahi hota. Gunahgaar apni gunaah kabulata nahi aur Sarkaar ko lataar laga dete hain, kyonki darr mein Sarkaar se accha bakra milta kahan hai? Isliye use Aandolan ka naam dekar hum bhadaas nikaal lete hain. Jiyo mere Bhartiyon Jiyo, Acchi aadat hai Andolan ki, Aakhir haq hai tumhara, uske naye-naye dhang paida karte raho………
                                          Bas itna sunne ke baad meri chadhi bhauhein utar gayi aur man hi man bola ki sahi to hai Main kahan Desh ko Jagaane nikla tha pehle khud toh jag jaaon.
                                   By: Ankit Jha

रविवार, 12 जून 2011

Chalte-Chalte

Chalte-Chalte jab thak gayen Rahon par,
TAB pata chala ki Rahen manjil nahin dhoonda kartin.
Manjil toh Pathik dhunda karte hain,
Tab pata chala ki Raahein Pathik nahin dhundati.
                                                           Dil aur aankhen kabhi kuchh bola nahin kartin
                                                           Par Kavita mein har cheez bolti hai.
                                                           Bolna jubaan ka dharma hai, Karma nahin,
                                                           Asal mein Insaan ki bhawnaein bolti hain.
Chaand raat mein nikalti nahin hai,
Neekalti tab hai jab uski jarurat padati hai.
Ghane Megh ke aage ye Natmastak ho jaate hain,
Kyonki Musibat mein sabhi saath chhod jaate hain.
                                                            Chalte-Chalte ye aankhein bahut kuchh dekh leti hain,
                                                            Duniya ke har rang ko ragon mein samet leti hai.
                                                            Chalte-Chalte paanv thakte nahin hain,
                                                           Thakte wo hain jo apne chalne ko kaam samajhte hain.
            Us Suraj se puchho ki kya wo pighalta nahi
            Us Aasmaan se puchho ki kya wo jalta nahin
            Us Chaand se puchho ki kya wo bujhta nahi
            Nahi tum to us Kalam se puchho jo ki
                                    CHALTE-CHALTE THAKTA NAHIN.
                  FROM- ANKIT JHA

शनिवार, 11 जून 2011

Star '*' Bante jaa Rahen Hain "ANNA"

 Abhi us ghatna ko 2 mahine bhi nahi hue jab Jantar-Mantar par Andolan Senani 'ANNA HAZARE' ne lokpal bill ko Jan Lokpal Bill mein Parivartit karne hetu AAmaran Anshan kiya tha. Sirf 2 Mahine ke antaral mein us Anna Hazare ko jise aam bhartiya jaanta tak nahi tha, aaj unki awaaz ban gaye hain. "Bharshtachar Virodhi" karyon mein aaj wo agrani ban rahe hain.15 January 1940 ko Bhingar mein janme Anna ka shuru se hi Samaaj seva ke prati khinchav raha71 ke yuddh mein  bharat ko Sainya seva pradan karne wale Anna, apne aapko Gandhiji ka Uttaradhikari nahin balki pujaari maante hain.
                                     Jab Ramdev Baba ne unke kathit nakshekadam par chalte hue jab 'Ramleela Maidan' mein " Bhrashtachar Mitaao Satyagrah " ka Aahwan kiya to Bhartiya janata Anna ke samarthan ka intezaar kar rahi thi. Anna, jo ki 450 se bhi jyaada anshan ka record rakhte hain, ke samarthan se baba ke satyagrah ko janta ka samarthan mila aur yah anshan reefleshia ki phool kee tarah khila, vo alag baat rahi ki utni hi jaldi sarkar ne us phool ko todkar apne balon me saja liya , fir Anna ke har kadam par janta ki nazar rahi.Apne apko 'CIVIL SOCIETY' ka sadasya manne wale Anna ke har kadam ko janta ka saath mila aur woh samajsevi se 'bhrastachar virodhi' Brand ban gaye . Yeh brand ab dhire-dhire dharatal par aa raha hai, asha hai ki 'Anna' apne sanskar aur adarsh nahi chodenge , kyonki aaj unki awaj janta ko jagati to hai par unki lalkar janta ko utni hi jaldi dara ke sula bhi deti hai.Bas itni guhar rahegi ki apne stardom ke josh me wo galti na kar baithe jo  Mithun chakraborty kar baithe aur dubte chale gaye , sahara mila bhi par ab tak bahar hi nikal rahe hai aur Anna ke paas to umra bhi nahi hai ................... 

शुक्रवार, 10 जून 2011

Nirwastra hoti Dharohar!!!

AAj shaam jab Internet par apna blog likhne baitha to shre karne ke liye kuchh khas nahin tha. Wastutah " Sansar mein har prashna ke paanv Zameen mein gahre gare hote hain" aisa Shri Hari Shankar Parsai ji ne kaha hai, Antatah wah paanv maine ukhad hi phenke, Pahle soncha ki phir se us jwalant mudde ko bhadkaun lekin peechhe hat gaya ki kab tak isi se sab ko bore karoon, bore to nahin uba zarur doonga. Din bhar NEWS channel walen kya kam peechhe pade rahte hain. Bahut saari muddon ko bharkaane se accha mujhe jwala sulgana laga, woh tha Bhartiya Samaaj ke Sabse bade Dharohar ka din-pratidin Videshi sanskriti ke samaksh NIRWASTRA hona.  jab bhartiya cinema itihaas ke 12th varsh mein hi Devika Rani aur Himanshu Rai ne pratham ch**** drishya diya tha to ise lekar bahut bawaal hua tha Aur 4 varshon tak cinema ko Samaaz ke liye shaap va kalank maana gaya. Yadi Dada sahab, Salil Chaudhary, Guru Dutt na hote toh ye aaj bhi kalank hi hota. Bhartiya Samaaj ki bhi ajeeb Avdharna hai ki kuchh cheejon ko kabhi jagjaahir nahin karti parantu kuchh cheejon ko shauk se jagjaahir karti hai. Aaj "Saahitya" nahi "Cinema" samaaj ka aina hai aur Sangeet uska kaanch, Samaaj mein Sangeet ko janm dene wale "Wazir Mohammed Khan" saheb ne kabhi ye soncha bhi naa hoga ki unki agli peedhi sangeet ke naam par wo padosegi jise Saamajik Granthon mein ek naam diya gaya hai "ASHLILTA". Raj Kapoor ke film " Mera Naam Joker" mein Paddmini par filmaya gaya gaana Ang Lag Jaa Balma' bhi iska hi ek udaaharan hai, us samay koi censor nahin tha aur na hi You Tube tha isliye jisne film dekhi usine anand liya aur paya ki Ashlil kya tha, phir aaya KIshore Kumaar dwara gaaya gaya film Aradhana mein Rajesh Khanna Va Sharmila Tagore pe filmaya gaya " Rup tera mastana" is gaane ko sangeet maryadaon ka vinaashak naa kahein to kya kahein? Isi tarah ye kram aage badgta raha, aurhar baar kuchh jyaada tutata  gaya. "21st sadi" ke sangeet ne us adhmari atma ke bhi gale ghontane shuru kar diye. Apne Sangeet ke tapobal se Varsha karwaane aur Diya jalaane wale "Taansen" ne kabhi ye soncha bhi nahi hoga ki sangeet se kabhi Remix judega aur sangeet ko naya banane ki zidd mein uska daah sanskaar kar dega. "Bhinge honth tere....., Bidi jalaile........., Shiela ki Jawaani........., va Raat akeli hai........" jaise gaane jahan Sangeet ke yatharth pe prahar kar rahein hain toh iske shabd us Shabdkosh se liye gaye hain jiske upar likha hua hai " EXPLICIT CONTENTS INSIDE". Ye sab yahin khatm nahi hua, 2011 mein aayi film 'DUM MAARO DUM' ke title song ne sangeet mein aastha rakhne walon ke aastha par prahar kiya toh wartamaan ka sabse prachalit gaana " BHAAG D.K. BOSE", us satya ko jhuthla deta deta hai ki "SANGEET SANSKRITI KE SUCHARUTA KA NAAM HAI". Sunane wale bewakoof nahin ki samajh naa paein ki kya kaha gaya hai? Bas itna samajh liya jaae ki haalat aur bigdegi. 
           Insaan Nirwastra bas 2 haalat mein hota hai, Atyadhik garibi mein yaa atyadhik raisi mein parantu AATMA sirf 1 baar Nirwastra hoti hai jab uski aatmaa nagn ho jaae. AAj samaaj ka yatharth Ashlil hai tabhi toh pichhale 10 saal mein bane lagbhag har Saamajik film ko 'A' certificate mila hai. Cinema hamaari sanskriti nahi hai parantu Sangeet hamari sanskriti hai jo janm va mrityu har cheez se judi hai. Isme in Tatwon ko milana apne Is DHAROHAR ko nirwastra karne se kam nahi hai aur hum apne Cheerharan par Taaliyan thonk rahe hain...........
    From- Ankit Jha  

गुरुवार, 9 जून 2011

Jale se Koyle ki Khoj

Har ghatna ko muddey mein pariwartit karna, Bhartiya hi nahi waran vishwa Raajneeti ki aadat hai. Bacche ke gaddhe mein girne se lekar Yuvati ke aasmaan ghumne tak har cheez antatah ek chunawi mudda ban kar rah jaata hai. Ye baatein isliye mahatva rakhtin hain kyonki " Baba Raamdev ke Satyagrah Daman ke bheeshan aag ke paschaat desh bhar ki har chhoti-badi raajnaatik dal va uske har chhote-bade neta us Raaakh ki dher va kuchh jagah sulagate chingari mein se Koyla dhundh nikaalen.Ek taraf Baba Ramdev ke kandhe par Bandook rakh kar BJP danadan bayaanon ki firing kiye jaa rahi to Congress bhi un goliyon se aahat hone ke bajaae uske baarud se bam banaa kar aur zordaar dhamaake kar rahi hai. Iss Yuddh ko dekh kar mujhe 80 ke dashak ke dauraan chale Raamayan, ke yuddh ke drishyon ki yaad aa gayi, jab ek, dusre ki waar ko katta to hansta aur khud ke waar katne par chaunkataa. AAj jab Sarkaar aur Vipakch ki nak-jhonk dekhi toh raha nahi gaya, Vipaksh ki neta jab  deshbhakti gaanon par thiraktin hain to congress ke neta chutki lete hain, Congressi ke bayaan ko B.J.P ke Prawakta ne kaata, phir antatah wo ho hi gaya, jiska mujhe andesha ya kahen darr tha. Lagbhag 5 baje beeti sham ko ek Anjaan jiska naam Sunil Kumaar bataya gaya, Congress Mahasachiv Janardan Dwiwedi par Joota lekar chadh gaya, Hamala tal gaya par Baba 2 din ke baad muskuraye toh. Is muskurahat ne bahut saari baatein spasht kar din, lekin usse bhi jyaada prashna khare kar diye. Kya chahtein hain Baba- Unki Jeet ya Sarkaar ki haar Ya desh mein shanti? Baba ki utkat Jeejivisha unke Sanyaasi va Satyagrahi donon hone par Prashna khari karti hai? toh phir kya kaha jaae ki - ki har jale se koyla nikaalana jaruri hai, kabhi to use rakh ban jaane do taaki use khet mein chhirakkar use upzaau bana sake, kahin aisa naa ho ki us aag se koyla nikkalte samay haath jal jaae aur koyla koi aur le jaae.............

सोमवार, 6 जून 2011

A Talk to the Motherland

One of the most intellectually resourced country! leader in having "Unity in Diversity"! second largest populated nation and biggest democracy in world !
      Yes, I am introducing 'India' & so called Bharat Mata of Indians. First of all thanks India to come & bestow me a chance to some questions.
               LET'S START MADAM ..................
Me- What actually do you think about yourself?
India- (With grim mark on face) I have every thing but I have nothing, I can do anything but I can't, I pretend to world that I like peace, love & harmony but many a times I lack that, My some great sons had dreamed to recognize me as "World's Best" or " Vishva Guru " & for that purpose they worked hard.
                But as I have told you earlier, at present I am very disappointed & sorrowful also along with  being shameful.
Me- It has been projected and reported everywhere that India is developing and soon It will be amongst developed nations. How mush does truth lie in this fact?
India- Truth is known to every those Indians who are struggling to get the meal both terms & are hardly capable to survive. You are talking about development? I am hardly able to fulfill the basic requirements of my excess population. What so ever anybody asserts, I know that today also more than 35% to 40% persons are not getting enough nutrition, 15% to 20% children are not celebrating even their their 6th birthday & more than those are undernourished. I am a woman so I can feel the panic condition of women across the country.
After more than 60 years of freedom they are not able to enhance their status in society; Maternity death rate is exceeding the dangerous level, Female embryos are being killed .
                                                                                         Today also number of population are not able to get education. I am considered as  the " Country of Hungers & Criminals ". Do you think that these scenarios are the sign of developed nation? Just on the behalf of data or so called GDP growth rate or an economic survey a nation can't be said Developed.
      It requires fundamental & practical improvement in which I am far behind.
Me- According to you India didn't improve after independence?
India- No, No, absolutely not, It has improved but not up to the mark on which I should proud of.
Me- In your view, what actually are the basic challenges that you are facing & which have to be overcome?
India- Tough one, (thinking in a depth) really its difficult to answer not because they are few but what all to be mentioned in a brief answer, challenge to feed my 121crore peoples, challenge to provide them shelter who all are sleeping on footpaths, platforms etc., challenge to secure my population from terror attacks, challenge to vanish corruption which is spreading in bullet speed, challenge to destroy domination of any one gender on society, challenge to keep communal harmony & above all challenge to build productive human resource. These are some basic challenges except that many are remained which I can't make you count.
I- Do you feel that these challenges can ever be overcome?
India- (with a deep breath & with a cool smile) Yes, undoubtly yes if my young kids will realize that their motherland is in tremendous sorrow; sorrow of having children like them who are not conscious about the dignity & respect of their mother. When they will begin to think that each and every person of this country are children of one mother and it is their responsibilities to make her mother happy & prosperous. Because, I have no doubt on the potential of my sons. I have been waiting for many years to see a day when I can proud on myself.(having some emotions in eyes in the form of tears)
                         "Thanks, India to share your feeling with us about the scenario & situation in which you are."
                     "Well! I am overwhelmed. What should I speak? I absolutely have runout of words.
     After listening mother India & her view, one thing should certainly come in our rubbish mind."How big offenders we are actually?" Our mother is exploited by us. She wants sorry deserves a lot from us so please wake up!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
                                                                                                                            From the pen of my brother: - Manish Jha
                                                                                            
             Edited by: - Ankit Jha "Mr.'A'"

रविवार, 5 जून 2011

Sanyasi Ka Satyagraha - 2

Murde kabhie zinda nahi hua karte aur maddey kabhi khatm nahi hua karte hain. Aaj subah jab 6 baje jab aankh khuli toh T.V. on tha aur Bob Wulmer ki mrityu ke paschat pahli baar subah ki pahli nazar ne chaunka diya ya kahen to dehla diya. beeti raat Delhi Police ke ddanwon ne RamLeela Maidaan par jo Taandav kiya usse na sirf Baba waran samucha Hindustaan aahat hua. Kya galti rahi Baba ki? Kahien ye to nahi ki wo Aankhon me gol chasma, Safed wastra va Gandhi Topi ki jagah sirf ek 'Gerue' va Bhagwa rang ke vesh mein ho ke Sanyasi kahllate hain ya phir ye ki aandolan karne se purv we ek Yog Guru kahlaae? Kabhi- Kabhi A.C. Cooler mein sone wala aadmi bhi parvash Raaston par Taazi hawa khaane nikal jaata hai iska matlab ye to nahi hai ki wah rraste par hi apna aashiyaana khara karne wala hai, phir 3 divaseey Andolan ka Aahwan karne wale Yogi Ramdev ko kis tarah logon ne Raajneeti ke Pravesh Kaksha ka darwaza khatkhatane wala chehra samajh liya. RamLeela Maidaan mein hue us Manawatasanhar ka Drishya to main Chalchitrit nahin kar sakta parantu itna to jarur kah sakta hun ki Sarkaar dari, Baba se naa sahi toh, maidaan mein umar rahi us Bheeshan Jansailab se aur uski Taaqat se kyonki Raat ko ek baje jab sabhi so rahe hote hain, koi samay nahin hota hai Satyagrah Daman ka. Kya Police Commissioner ko yah Khabar mili thi ki RamLeela Maidan mein Baba Ramdev koi Bear Bar chala rahen hain jo itni raat ko Karrvai jaruri thi.
                                                      Raat ko ye Dukhad ghatna aur din bhar ek se badhkar AArop-Pratyarop bhare Bayaan. Is Ravivaar ke maje ko duba ke rakh diya. 3 June ki shaam ko maine Baba ke is Faisle par Facebook par Comment kiya tha ki " baba ka ye kadam Desh mein Ek nayeen Zidd ko janm degaa," Mujhe pata nahin tha ki ye saarthak bhi hoga aur ho gaya. B.J.P. Raajghat par 24 ghante Bhookhi rahegi toh 8 june se "Anshan Nayak ANNA HAZARE" 24 ghante ann tyaagane wale hain aur kain jagah ye sab hone wala hai aur hote rahenge. Is desh ko aadat hai Chalan ko Prachalan banane ki aur prachalan ko Sanskriti. Isi baat ka darr hai kyonki Anna ke waqt Sarkaar bebas rahi thi, Raamdev ke waqt Majboor, Agli baar shayad nahi hogi kyonki Sarkaar Kamjor nahi,Kaamchor hai use ek Formula chahiye tha so mil gaya. Galat Sarkaar bhi nahi Aur na hi Baba bhole hain, Firing donon ore se hui, bas Sarkaar ki firing me Prabhutva tha isliye ZAmeer ko ghayal kar gayi aur Aansoo chhoot gaye jiske aar mei woh Strivesh mein lipte Baba ki chalak guhaar se bhari firing unke hi samarthakon par chal gayi.
                                                      Intezaar rahega bhavishya ka ki ye Satyagrah ek Yogguru se kitne aur Aasan karwaega. Kahin aisa na ho ki Sabhi Aasno mein kushal Baba to bach jaen, Parantu Samaaj 'Garurasan ' mein phans jae aur phir desh ka bhavishya Shavasan mein. Agar aisa hua to phir Cancer ke ekmev Upcharak aur Vishwa ke ubharte Prashasak ka dwandwa unke Prashasan ko hi nagal jaega, Khair yah to Leela hai , Logon ki aadat hai wo ni jaane bas is Chalan ko Sanskriti na banane de Warna Annapurna Mata wale desh ke anaaj Niryaat karne padenge aur Satyagrahi Aayat.

शनिवार, 4 जून 2011

Sanyasi Ka Satyagraha

Aaj agar desh ke sabse bade mudde ki baat karen to nihsandeh wah Baba Ramdev , maaf keejiyega 'Param Pujya Swami Ramdev Ji Maharaj ka "Bhrashtachar Mitao Satyagraha" hi hai.Maine bhi socha ki is vishay par apne tark doon, lekin agle hi pal dharatal par aa gaya ye soch ke ki main koi 78 varshiya Raajneetik jjankaar nahin balki 17 varsh ka ek maasoom toh nahin par ek kishore hoon.Meri raajneetik va samvaidhanik samajh desh ke Thakuron itni to nahi par jitni hai , uske anusaar eksanyasi ka Andolan Ahwaan,usi tarah lagta hai maano Rupahale Parde ke kalakaar Khel ke maidaan par pasina baha rahe ho. Ittefak ki baat hai ki in dono ajoobon ko ek hi din hona tha, Ek taraf Dilli mein 1 Yogi yaa kahen Yogguru 1 kushal neta ki tarah desh ka haq maangane ke liye lakhon logon ke saath Satyagrah par baitha haitoh doosri ore Chakachaundh ki duniya ke sitaare maidaan par Cricket khelkar pasinaa baha rahen hai. Padhne wale sochenge ki in dono cheejon ka kya connection? Yun to connection Anna Hazare ke aamaran Anshan aur IPL ka bhi nahi tha phir bhi kai Samachar channel ka frontline feature hi " Anna Ya I P L" ban gaya tha, connection hai; prasiddhi ka. Cricket itna prasiddha ho raha hai ki cinemaai sitaaren bhi pasina bahaane se chook nahin rahe hain aur Bhrastachar ke viruddha Andolan itna prasiddha ho raha hai ki koi bhi Raajneetik khwaab dekhane wala karishmaai neta apni roti senkane se peechhe nahi hatna chahata hai. Ajeeb baat hai ki mujhe 9vi-10vi mein physics padhane wale Shikshak Baba Ramdev ke samarthan mein Krantikaari ban baithein hain to vigat 4 varshon mere sath padh rahin ladkiyaan mujhe Tweet kar ke kahti hain ki ' Jha ye Baba Vagairah Ka Tension Mat Le, Hume unse kya matlab hai?'
                 Ajeeb Baat hai ki, Anna va P.P.S.Ramdev ji maharaj ek taraf bhrashtachaar ke viruddha hamaari awaaz bulamd kar rahen hai aur hum apna munh band rakhna chaahaten hain.ise is desh ka durbhagya hi kahiye ki jab-jab humen kadam aagey badhane ke liye kahaa jaata hai usse bhi jaldi hum apne kadam peechhe hataate hain. T.V. ke saamne baithkar, haathon mein Remote lekar toh sab Krantikaari ban sakten hain, darshak deegha mein baithkar Taali bajaakar toh sab support kar sakten hain , Kabhi kuchh kar ke deekhayen tab samjhen ki sabhi ke Satyagrah sarthak hue.
                         Anyatha ye isi tarah prateet hota hai ki  neend se jaggane ke liye Lota bhar Paani toh daal diya, Ankh bhi khuli par neend itni tez thi ki Waapis aankh lag gayi ,    baar- baar toh koi paani daalne nahi aaega kyonki Dharti par Paani Ki bhi kami ho rahi hai aur aankhen badhati jaa rahi hain....................