सोमवार, 25 जून 2012

Articlessss


Apnon ko Manana Hai, Zara Der Lagegi….
Vivashata Rajneeti ka mool hai. Ji haan, vivashta ko hum aam bol chal ki bhasha mein faisala na le pane ki dasha bol sakte hain. Rajneeti ke ankuran se lekar aaj uske ek majboot darakht banana tak vivashta iske bhitar ‘ xylem’ aur ‘phloem’ ka kaam kar rahi hai. Yadi Dhritrashtra va Bhisma ki vivashta na hoti toh Mahabharat ka yuddh na hota, Ravana ki vivashta na hoti toh Ram-Ravana yuddh na hota, Dashrath ki vivashta na hoti toh ram ko vanvaas na hota, Harishchandra ki vivashta use uska raj-kaj naa choorvati. Vivashta ne itihaas ke har panne par apni jagah bana kar rakhi hai. Kivdantiyon ki mane toh Bharat mein Angrezon ko panaah milna Mughalon ki vivashta thi toh Pakistaan ka alag hona Gandhi ji ki.                                                                                                                         
                                Yah prashna itna gambhir hai ki iska ilaaz swayam ishwar bhi nahin kar paaye the. Aaj ke paridrashya mein vivashta rajneeti ki pehchan ban gayi hai. Daur gathbandhan ka jo hai, sabke sath insaf karna bhi jaruri hai aur sabke naaz-nakhre uthana bhi. Jahaan rashtriya dale k-doosre se takrati thi vahin aaj kshetriya dal bhi rashtriya dal se takraane se nahin darti khaskar we jinki wahaan sarkaaren hai. 2008 mein yadi LEFT ki BENGAL wa Kerala mein sarkaar na hoti toh wo UPA ka katai hath nahin chhorti, vivasha ho kar America se haath Milana hi parta. Aaj ki baat Karen. Rashtrapati chunav ab jor pakar chuka hai. Donon pramukh dalon ne apne pratinidhi utar diye hain. Paksh ka pratinidhitwa BENGALI BABU PRANAV MUKHARJI kar rahen hain toh vipaksha ki ore se dhwaja lekar P.L. SANGAMA aage badh rahe hain. Is chunav ne dono hi partiyon ki taaqat ko kamjor kiya hai. Jahaan UPA ka pratinidhi usaki sahyogi TMC pramukh MAMATA didi ko raas nahi aaye wahin NDA ke pramukh ghatak JDU ka inhe poora samarthan hai. Donon hi gthbandhanon ke liye ye partiyaan bahut jaruri hai. TMC ne jahaan Paschim Banga mein 34 varshon ke Vaampanthi sarkaar ki jaren ukhaar kar phenk di wahin 2010 mein JDU ne bina Vipaksha ke sarkaar bana kar itihaas bana diya tha. Samay dheere-dheere karvat le raha hai. Mughal shaasan kaal mein bhi yadi Delhi par kaabiz Mughal samrajya ko yadi kshetriya shaskon ke sammilit chunauti ka samna karna parta toh who bhi hil sakta tha. Daman tabhi ho sakta hai jab tukre bichhad jaayen, Kahte hain- ‘Jhoond se nikle Langoor aur Gucche se nikle Angoor ki shamat tay hoti hai.’ Aaj sirf do hi kaam h sakte hain ya toh donon hi bari rashtriya partiyan apni gathbandhnon ko sangathit wa sashakta kare yaa phir haath mila kar ek doosre ko kshetriya dalon se milne waali chunauti ke liye taiyaar ho jaayen. Jahaan NCP ke anubhavi aur purane neta P.L. SANGAMA apni ummidwari kayam rakhne ke liye B.J.P. se ja mile. Harish Rawat Uttarakhand mein satta na milne se ahat ho apani hi sarkar girawane lage. Karnataka mein YEDURAPPA ki nautanki jagjahir he JDU ke sashakt mukhaymantri NITISH KUMAR wa BJP ke NARENDRA MODI ke beech ka dwandwa kisi se nahi chhipa. Sabhi rajneetik dalon ki apni paresaniyan hain aur sabse badi bandhu virodh ka darr. Apne hi agar rudh gaye to kya hoga apne ko manane mein hi aaj sarkar apna aadha waqt gawan deti he sabhi ko khush rakhane ke chakkar mein kaise Rajneetik dal janata ko khush rakhna bhool jaate hain. Apna dukhra sunane ko bhi toh koi nahin milta, yadi kisi sahyogi ko sunai toh kahin wo naraz na ho jaye. Gair toh naaraz hote hi hain, yahaan toh apne ho gye hain. Apnon ko manana hai zara der lagegi……

कोई टिप्पणी नहीं: