सोमवार, 25 जून 2012

Articlesss


India Jaan le gayi
“Mori Imorted kamariya chant ke aayi duniya, Welcome Welcome karti India jaan le gayi” Film Shanghai ka ye Gaana bharat ke us sunhare kal ki yaad dilaata hai jab hum sone ki chiriya the.Bharat ek sone ki chiriya thi par aaj ye sirf ek chiriya reh gayi hai, aksar hum is samwaad se ru-ba-roo hote hain aur har baar main toh jhunjhala hi jati hoon. Wah vyakti jo Bharat ke bare mein aisa kehta hai yaa toh wo yahaan ka nahin hai ya bharat ko acche se nahin janta tabhi to who is Kiwadanti ko hanare desh ki sacchai bata raha hai. Kaun kehta hai ki Bharat ka khazana khali ho gaya hai. Yeh khazana itna vyapak hai ki kabhi khali nahi ho sakta kyonki Ye ek son eke ande dene wali murgi hai maar kar bhi ek baar mein loota nahin jaa sakta. Sonchiye jahaan ki patthar ki murtiyaan 2500-3000 core ke maalik hain toh chalte-phirte insaan kaise garib ho sakta. Jis desh mein Vyakti ke sapney uske kad se kain bade hain, car toh Ferrari, ghar to Haveli, Holyday toh Manila, aur na jane kya—us desh ka arth ka shnya kaise ho sakta hai. Koi bhi desh sirf Arth ke khazane se hi nahin chalta hai varan aur bhi kain prakar ke khazane bhi hote hain jo kisi desh ki pragati mein sahayak hote hain. Aur is mamale mein Bharat apne pratidwandiyon se kai aage hai, chalo is desh ke khazanon ke bare mein sonchte hain kya nikal ke aata hai, ek din ka CAG banati hoon. Sabse pehla aur sabse vyapak khazana- Manav Sansadhan(Human Resource); yahaan jansankhya ki koi kami nahi hai balki itni jyada hai ki yahaan ki zameen iske liye kam padti hai, tabhi toh duniya ke kisi bhi kone mein Dhoop, Hawa, Paani aur Bijli mile na mile Bhartiya jarur milenge. Dusra khazana- yahaan ke logon ki chahat aur sapney, khana mile na mile par pina hona chahiye, kapde phatey ho gham nahin par perfume ki mahak aani chahiye, log bhookhey marey par anaaz niryaat karke For-ex kamana hai, Software ke bare mein aadhi aabadi nahin janati hogi par duinya ka sabse bada Software niryatak desh bharat hai. Itni vyapak khazana kya koi loot sakta hai? Phir kyon log is desh ko sone ki chiriya kahen, nahin ab nahin is chiriya ko Suraksha ke liye kahin choopa diya hai shayad kisi Aitihasik mandir mein, ya phir Sarkari Babuon ke ghar mein, nahin RBI ko note chapney ke liye isi chiriya ke pankh dete hain. Kaun aise chiriya ko lootna chahege jo pehchana hi na jaa sakega, phir bhi Bharat sach mein khazanon ka desh hai. Har din kitne hi khazane loote jate hain kahin mandir toh kahin ghar ek mandir. India ko ab koi Third World Country na kahe, ise The Treasure Mainland kahen yahi iski pehchaan hai aur razaa bhi…… Isiliye kahte hain ki-
Sone ki Chiriya, Dengue Maleria,
Gur bhi hai- Gobar bhi
Bharat Mata ki Jai………
From the pen of my Sister-

कोई टिप्पणी नहीं: