---Rashtriya
Ekikaran Ke
ISHAQZAADE---
Abhi kuch hafton pahle ek film aayi thi- Habib
Faizal ki ‘ISHAQZAADE’. Film ke antim drishya mein nayak apni nayika se kehta
hai- “ Tere mere pyaar mein ek baat toh acchi hui, Quirashi aur Chauhan ki
partnership, warna bandook taane hi milte the.” Yeh samwaad sunne mein accha
laga tha, atah is par manthan bhi awashyak hai. Samwaad ko varnit kiya hai
Habib Faizal ne atah iski gahraayi ko samjha jana chahiye. 100 Varshon ke
cinema itihaas mein ‘prem’ lagbhag sabhi Bhartiya filmon ka mool raha hai. 1947
mein azaadi ke baad filmon ka aisa daur bhi aaya jab Deshbhakti filmon ka
matlab Simaaon par jung ladna hi rah gaya tha ya phir Deshbhakti geeton se
susajjit kisi Mahapurush ki Jeevani ya Sansmaran. Un Filmon mein Pakistaani
Fauz ya British Raj ko khalnayak ke roop mein dikhaya jaata tha, isse hamare
desh mein niwaas kar rahe wahaan ke sharanarthiyon ki bhawnao ko thes
pahunchata tha. Jab desh ke log khush na ho wo Deshbhakti kaisi? Deshbhakti ka
sirf ek mool hai Ekikaran, Rashtriya Ekikaran. ‘Bobby’ ko lijiye, Amiri-Garibi
ka bhed mita diya, ‘Amar-Akbar-Anthony’ mein ek hi parivaar ke teen alag-alag
Dharma ke bhai. Yadi kisi film ne sahi shuruaat ki to wo thi- Gadar: Ek Prem
Katha. Sikh ladke aur Musalmaan ladki ki ek amar prem katha, jisne manawata wa
rashtriya ekta ke sath-sath Vishwa shanty tak ka sandesh de diya. Rashtriya
Ekikaran kisi rashtra ke ekta, akhandata tatha samprabhuta ke liye awashyak
kyon hai? Koi rashtra kisi ek Insaan ya Dharma ka nahin hota, dharma toh sirf
ek ikaai hai rashtranirmaan ke liye. Gandhi wa Kautilya dono ke hi rashtra
nirmaan kea lag sapney aur nazariye the. Aaj ke is daur mein dono hi siddhanton
ki kami khalti hai. Koi kitni bhi
manavata pradarshit kare parantu Bahya dharma ke naam par talwarein khinch thi
aur rahengi. Agar Ishaqzaade in talwaaron ko rokna chahe to unhe ye apne jism
par khani hogi. Dharma ke prachar se hi saari Manviya Vikaron wa Shatruta ka
beej utpann hua jo ab Rakhtabeej ki bhanti har khoon ke katren ke sath badhta
hi jaa raha hai. Sonchiye yadi sirf ek dharma hota toh sampurna vishwa ek
samaaj hota, lekin aisa nahin hai. Hum bahut andar tak bante hue hain- dharma,
Jaati, mool, linga, gotra, parivaar, khandaan, pahunch aur yahaan tak ki
bhasha. Kaun jod sakta hai itne bikhre kisi samaaj ko. Kya koi? Ishaqzade toh
nahi? Rajneetigya toh bilkul nahin. Arthat ye hamara rashtra kabhi ekikrit
nahin hoga. Sadaa bikhra rahega. Hum parosi sadaiv ek desh ke, ek grah ke hone
ke bawjood alag hi rahenge, kyonki hamaara dharma, rang, bhasha aur manyataein
alag hain.
Is desh ki har ikaai ko jorne ke baad ye desh banega, tab tak toh ye 120
crore ikaaiyon mein bataa Taapoo hai, jiske samooh ko India kahte hain. Is India
ko jodne ke liye har dharma se Ishaqzaade chahiye taaki har dharma mein
Partnership Badhti jaaye................
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें