Nirwastra
Hoti Dharohar-2
‘Public samaan dekhati hai
dukaan nahin, aur jab sharafat ke kapde utarte hain toh sabse jyada majaa bhi
sharifon ko hi aata hai.’ Yeh samwaad pichhale saal pradarshit hui film ‘The
Dirty Picture’ se hai. Iski nirmata Ekta Kapoor ka kehna hai ki 50 scenes
kaatne ke baad bhi pata nahin kyon ise T.V. channels par pradsarshit nahin kiya
jaa rahe hai. Sonchane ki baat hai, yadi 50 scenes kaatne ke baad bhi film
pradarshit hone layak nahin toh use pahle kya hoga? Is lekh ke pichhale ank
mein humne sangit ke malin hone ki vyatha suni thi, is ank mein hum apni us
dharohar ke nagn wa nirwastra hone ki vyatha katha sunenge jise 1913 mein aayi
film Raja Harishchandra’ se lekar 1932 ki ‘Alam Ara’ aura b pichali release
Maximum tak sabhi filmon ne apnaya hai, Title, Plot Aur Dialogues… Parde par
Kamottej kai varshon se chala aa raha hai, uske liye Censor Board ne alag grade
tay kar diya hai. Ek samay tha jab koi bhi pratisthit aur bada sitara aisi
filmon mein kaam nahin karna chahta tha, us grade ko Bollywood ka sharm kaha
jata tha. Parantu aaj badalte yug ke sath bade-bade sitaare bhi is tarah ki
filmon mein hath aajmate hain. Aaj ke darshakon ko kya chahiye? Har shukrawar
ko kuch nya. Kuch naye ke sath kuch accha. Kahte hain Bhartiya darshak bhi ab
Hollywood darshkon ki tarah paripakwa ho gaye hain wa The Reader jaisi filmon
ka intezaar kar rahe hain. Paripakwa dimaag va chahat hamaari sanskriti ko
badal nahin sakti aur nahi hamaare rishton ke samajh ko. Taaza udaharan lete
hain- humne apne ghar mein Saas-Bahu ko ya toh Maa-beti ki tarah dekha hai ya
toh phir do dushmanon ki tarah. Fir ‘Vicky Donor’ mein donon ka sath baithkar sharab
pita dekhna achambhit hi karta hai. Humaare filmon ke naam bhi ab Hollywood ke
filmon ke titles ko takkar deti hai. Jahaan Hollywood mein ‘Sex & the city’
hai toh humaare yahan bhi ‘Kaminey, The Dirty Picture’ jaise naam chalet hain.
‘Jism’ toh thik tha, ‘Jism2’ bhi aa rahi hain. Kya hamari sanskriti itni
majboor ho gayi hai ki videshi gand ko bhartiya mehmaan baji ada ki jaa rahi
hai. Videshi mudde, videshi kalakaar aur videshi bewkoofiyan jise humour ka
naam dekar bhartiya darshakon ko ek film parosa jaa raha hai aur hum uska khoob
lutf utha rahen hain. Antarjaal se lekar Mobile Phone aur T.V. se lekar Cinema
gharon tak. Kya Bandini banane wale Roy sahib ne socha hoga ki bharat mein
kabhi ‘Ragini MMS’ naam ki bhi fim banegi aur ‘Love Story’ banana wale Jubilee
Kumar ne socha hoga ki ‘Hate Story’ bhi
banegi.Mahilaon par atyachar aur unke utthan ki dastan koi naya plot nahin hai
par iske liye ‘The Dirty Picture’ aur ‘ Diary of a Butterfly’ ki jarurat nahin.
Pichle varsh ek film mein ‘Male Prostitution’ arthat ‘purush vaishya’ ka mudda
utha tha, iske poorva ‘samalaingikta’ aur ‘pre-marital relationships’ par bhi
dheron filmein ban chuki hai. Hamaari 100 varshon ki dharohar nirantar
nirvastra hoti jaa rahi hai. Yeh ek satya hai ki Ramayan va Puranon par har
film nahin banyi jaa sakti par banana ke lliye deshnmein kai mudde taktaki
lagaye dekh rahe hain taaki ek baar toh unka bhi uddhar ho jaye. E baar toh koi
rangmanch ka rukh kare kain mudde milenge. Desh ke pustakalayon mein jaakar
Gurudev, Premchand aur Sharatchand ko dhundho toh Othelo, Merchant of Venice
shariken kai kritiyaan milengi. Poori deshi aur apni sanskriti ki maryaadon ke
sath….
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें