सोमवार, 25 जून 2012

Articlessss


Apnon ko Manana Hai, Zara Der Lagegi….
Vivashata Rajneeti ka mool hai. Ji haan, vivashta ko hum aam bol chal ki bhasha mein faisala na le pane ki dasha bol sakte hain. Rajneeti ke ankuran se lekar aaj uske ek majboot darakht banana tak vivashta iske bhitar ‘ xylem’ aur ‘phloem’ ka kaam kar rahi hai. Yadi Dhritrashtra va Bhisma ki vivashta na hoti toh Mahabharat ka yuddh na hota, Ravana ki vivashta na hoti toh Ram-Ravana yuddh na hota, Dashrath ki vivashta na hoti toh ram ko vanvaas na hota, Harishchandra ki vivashta use uska raj-kaj naa choorvati. Vivashta ne itihaas ke har panne par apni jagah bana kar rakhi hai. Kivdantiyon ki mane toh Bharat mein Angrezon ko panaah milna Mughalon ki vivashta thi toh Pakistaan ka alag hona Gandhi ji ki.                                                                                                                         
                                Yah prashna itna gambhir hai ki iska ilaaz swayam ishwar bhi nahin kar paaye the. Aaj ke paridrashya mein vivashta rajneeti ki pehchan ban gayi hai. Daur gathbandhan ka jo hai, sabke sath insaf karna bhi jaruri hai aur sabke naaz-nakhre uthana bhi. Jahaan rashtriya dale k-doosre se takrati thi vahin aaj kshetriya dal bhi rashtriya dal se takraane se nahin darti khaskar we jinki wahaan sarkaaren hai. 2008 mein yadi LEFT ki BENGAL wa Kerala mein sarkaar na hoti toh wo UPA ka katai hath nahin chhorti, vivasha ho kar America se haath Milana hi parta. Aaj ki baat Karen. Rashtrapati chunav ab jor pakar chuka hai. Donon pramukh dalon ne apne pratinidhi utar diye hain. Paksh ka pratinidhitwa BENGALI BABU PRANAV MUKHARJI kar rahen hain toh vipaksha ki ore se dhwaja lekar P.L. SANGAMA aage badh rahe hain. Is chunav ne dono hi partiyon ki taaqat ko kamjor kiya hai. Jahaan UPA ka pratinidhi usaki sahyogi TMC pramukh MAMATA didi ko raas nahi aaye wahin NDA ke pramukh ghatak JDU ka inhe poora samarthan hai. Donon hi gthbandhanon ke liye ye partiyaan bahut jaruri hai. TMC ne jahaan Paschim Banga mein 34 varshon ke Vaampanthi sarkaar ki jaren ukhaar kar phenk di wahin 2010 mein JDU ne bina Vipaksha ke sarkaar bana kar itihaas bana diya tha. Samay dheere-dheere karvat le raha hai. Mughal shaasan kaal mein bhi yadi Delhi par kaabiz Mughal samrajya ko yadi kshetriya shaskon ke sammilit chunauti ka samna karna parta toh who bhi hil sakta tha. Daman tabhi ho sakta hai jab tukre bichhad jaayen, Kahte hain- ‘Jhoond se nikle Langoor aur Gucche se nikle Angoor ki shamat tay hoti hai.’ Aaj sirf do hi kaam h sakte hain ya toh donon hi bari rashtriya partiyan apni gathbandhnon ko sangathit wa sashakta kare yaa phir haath mila kar ek doosre ko kshetriya dalon se milne waali chunauti ke liye taiyaar ho jaayen. Jahaan NCP ke anubhavi aur purane neta P.L. SANGAMA apni ummidwari kayam rakhne ke liye B.J.P. se ja mile. Harish Rawat Uttarakhand mein satta na milne se ahat ho apani hi sarkar girawane lage. Karnataka mein YEDURAPPA ki nautanki jagjahir he JDU ke sashakt mukhaymantri NITISH KUMAR wa BJP ke NARENDRA MODI ke beech ka dwandwa kisi se nahi chhipa. Sabhi rajneetik dalon ki apni paresaniyan hain aur sabse badi bandhu virodh ka darr. Apne hi agar rudh gaye to kya hoga apne ko manane mein hi aaj sarkar apna aadha waqt gawan deti he sabhi ko khush rakhane ke chakkar mein kaise Rajneetik dal janata ko khush rakhna bhool jaate hain. Apna dukhra sunane ko bhi toh koi nahin milta, yadi kisi sahyogi ko sunai toh kahin wo naraz na ho jaye. Gair toh naaraz hote hi hain, yahaan toh apne ho gye hain. Apnon ko manana hai zara der lagegi……

Articlesss


India Jaan le gayi
“Mori Imorted kamariya chant ke aayi duniya, Welcome Welcome karti India jaan le gayi” Film Shanghai ka ye Gaana bharat ke us sunhare kal ki yaad dilaata hai jab hum sone ki chiriya the.Bharat ek sone ki chiriya thi par aaj ye sirf ek chiriya reh gayi hai, aksar hum is samwaad se ru-ba-roo hote hain aur har baar main toh jhunjhala hi jati hoon. Wah vyakti jo Bharat ke bare mein aisa kehta hai yaa toh wo yahaan ka nahin hai ya bharat ko acche se nahin janta tabhi to who is Kiwadanti ko hanare desh ki sacchai bata raha hai. Kaun kehta hai ki Bharat ka khazana khali ho gaya hai. Yeh khazana itna vyapak hai ki kabhi khali nahi ho sakta kyonki Ye ek son eke ande dene wali murgi hai maar kar bhi ek baar mein loota nahin jaa sakta. Sonchiye jahaan ki patthar ki murtiyaan 2500-3000 core ke maalik hain toh chalte-phirte insaan kaise garib ho sakta. Jis desh mein Vyakti ke sapney uske kad se kain bade hain, car toh Ferrari, ghar to Haveli, Holyday toh Manila, aur na jane kya—us desh ka arth ka shnya kaise ho sakta hai. Koi bhi desh sirf Arth ke khazane se hi nahin chalta hai varan aur bhi kain prakar ke khazane bhi hote hain jo kisi desh ki pragati mein sahayak hote hain. Aur is mamale mein Bharat apne pratidwandiyon se kai aage hai, chalo is desh ke khazanon ke bare mein sonchte hain kya nikal ke aata hai, ek din ka CAG banati hoon. Sabse pehla aur sabse vyapak khazana- Manav Sansadhan(Human Resource); yahaan jansankhya ki koi kami nahi hai balki itni jyada hai ki yahaan ki zameen iske liye kam padti hai, tabhi toh duniya ke kisi bhi kone mein Dhoop, Hawa, Paani aur Bijli mile na mile Bhartiya jarur milenge. Dusra khazana- yahaan ke logon ki chahat aur sapney, khana mile na mile par pina hona chahiye, kapde phatey ho gham nahin par perfume ki mahak aani chahiye, log bhookhey marey par anaaz niryaat karke For-ex kamana hai, Software ke bare mein aadhi aabadi nahin janati hogi par duinya ka sabse bada Software niryatak desh bharat hai. Itni vyapak khazana kya koi loot sakta hai? Phir kyon log is desh ko sone ki chiriya kahen, nahin ab nahin is chiriya ko Suraksha ke liye kahin choopa diya hai shayad kisi Aitihasik mandir mein, ya phir Sarkari Babuon ke ghar mein, nahin RBI ko note chapney ke liye isi chiriya ke pankh dete hain. Kaun aise chiriya ko lootna chahege jo pehchana hi na jaa sakega, phir bhi Bharat sach mein khazanon ka desh hai. Har din kitne hi khazane loote jate hain kahin mandir toh kahin ghar ek mandir. India ko ab koi Third World Country na kahe, ise The Treasure Mainland kahen yahi iski pehchaan hai aur razaa bhi…… Isiliye kahte hain ki-
Sone ki Chiriya, Dengue Maleria,
Gur bhi hai- Gobar bhi
Bharat Mata ki Jai………
From the pen of my Sister-

शुक्रवार, 15 जून 2012

Artclesss


..Main PARESHAAN, PARESHAAN..
As the race for the 13th Indian resident is going moment changing, every Indian opening their orifices & dropping their jaws are gawking at their TV sets. In every next moment the ball swings to different candidates. It’s tough to even play the bet, almost impossible to judge the intents. Whom will SONIA ji squelch & push ahead as India’s new president. PRONOB da, HAMID saab  & ummm… ….. Only. The Under Performed Alliance chief Sonia ji is on the bank to lose INC’s reliance. In all this drama there are various personas who are harassed at their peak. If anyone who is most pareshaan during this all ongoing melodrama is ……, ….., ……. Any guesses, yes obviously it’s we, the people of India. I can presage here that whosoever may become our 13th head of nation but we are not going to have Jocosity on T.V. till 20th of July. It has been more than 15 days for the regular shows & bulletins on Indian News Channels. Till now I haven’t understood the mutiny for the President election. It’s something else for the general election, when the crippled system of India presents, promotes, prices & fights for the victory. General Election interacts with the common people; in the way who we are going to vote, who is going to lead World’s biggest democracy, who will represent in the assembly? But what the aid president is going to put on us, so we may go pareshan. Just we are not only harassed but also another person who is more PARESHAAN than us, is our ‘Iron Lady-2’, Mrs. Gandhi. The well clad MMS (Man Mohan Singh), All the overloaded cabinetaries & of course the chauffer of Congress’ Chariot; Baba, Rahul Baba all are doing some or the other thing to show IL2 that they are sharing her frustration. Whoever she puts ahead is either not picked or liked by its coalition partners. TMC chief MAMATA has almost rejected Pranab da, she has well accompanied by non-govt. supporters SP & BSP. They jointly have presented 3 new options for having the candidature to the race. Chief of National Advisory Council needs a good & healthy advice from someone, so she seeked to old Congress leaders. Now, she is facing the real storm, as any misunderstanding & negligence may lead UPA to a great loss in coming general election of 2014. Many spokesperson of several parties have hinted of Mid-term election. As on-whole denying it all poli-parties said it of no connection with the alliance. What so ever, but everyone knows UPA is in danger, whether NDA not on the seventh heaven but these Regional Parties playing the cards. Orissa, Tamilnadu govt. has whole heartedly supported P.L. Sangama; Bihar, Jharkhand, Punjab & Karnataka’s regional parties will follow NDA suit. So it’s ofcourse bit tough time for UPA chairperson Madam Sonia ji . she must be humming all the time recent chartbuster from ISHAQZAADE--- Main Pareshan, Pareshan, Pareshan….. to hide her frustration & remembering her partners…  
 

रविवार, 10 जून 2012

Articlesssss


---Rashtriya Ekikaran Ke ISHAQZAADE---
Abhi kuch hafton pahle ek film aayi thi- Habib Faizal ki ‘ISHAQZAADE’. Film ke antim drishya mein nayak apni nayika se kehta hai- “ Tere mere pyaar mein ek baat toh acchi hui, Quirashi aur Chauhan ki partnership, warna bandook taane hi milte the.” Yeh samwaad sunne mein accha laga tha, atah is par manthan bhi awashyak hai. Samwaad ko varnit kiya hai Habib Faizal ne atah iski gahraayi ko samjha jana chahiye. 100 Varshon ke cinema itihaas mein ‘prem’ lagbhag sabhi Bhartiya filmon ka mool raha hai. 1947 mein azaadi ke baad filmon ka aisa daur bhi aaya jab Deshbhakti filmon ka matlab Simaaon par jung ladna hi rah gaya tha ya phir Deshbhakti geeton se susajjit kisi Mahapurush ki Jeevani ya Sansmaran. Un Filmon mein Pakistaani Fauz ya British Raj ko khalnayak ke roop mein dikhaya jaata tha, isse hamare desh mein niwaas kar rahe wahaan ke sharanarthiyon ki bhawnao ko thes pahunchata tha. Jab desh ke log khush na ho wo Deshbhakti kaisi? Deshbhakti ka sirf ek mool hai Ekikaran, Rashtriya Ekikaran. ‘Bobby’ ko lijiye, Amiri-Garibi ka bhed mita diya, ‘Amar-Akbar-Anthony’ mein ek hi parivaar ke teen alag-alag Dharma ke bhai. Yadi kisi film ne sahi shuruaat ki to wo thi- Gadar: Ek Prem Katha. Sikh ladke aur Musalmaan ladki ki ek amar prem katha, jisne manawata wa rashtriya ekta ke sath-sath Vishwa shanty tak ka sandesh de diya. Rashtriya Ekikaran kisi rashtra ke ekta, akhandata tatha samprabhuta ke liye awashyak kyon hai? Koi rashtra kisi ek Insaan ya Dharma ka nahin hota, dharma toh sirf ek ikaai hai rashtranirmaan ke liye. Gandhi wa Kautilya dono ke hi rashtra nirmaan kea lag sapney aur nazariye the. Aaj ke is daur mein dono hi siddhanton  ki kami khalti hai. Koi kitni bhi manavata pradarshit kare parantu Bahya dharma ke naam par talwarein khinch thi aur rahengi. Agar Ishaqzaade in talwaaron ko rokna chahe to unhe ye apne jism par khani hogi. Dharma ke prachar se hi saari Manviya Vikaron wa Shatruta ka beej utpann hua jo ab Rakhtabeej ki bhanti har khoon ke katren ke sath badhta hi jaa raha hai. Sonchiye yadi sirf ek dharma hota toh sampurna vishwa ek samaaj hota, lekin aisa nahin hai. Hum bahut andar tak bante hue hain- dharma, Jaati, mool, linga, gotra, parivaar, khandaan, pahunch aur yahaan tak ki bhasha. Kaun jod sakta hai itne bikhre kisi samaaj ko. Kya koi? Ishaqzade toh nahi? Rajneetigya toh bilkul nahin. Arthat ye hamara rashtra kabhi ekikrit nahin hoga. Sadaa bikhra rahega. Hum parosi sadaiv ek desh ke, ek grah ke hone ke bawjood alag hi rahenge, kyonki hamaara dharma, rang, bhasha aur manyataein alag hain.
                                         Is desh ki har ikaai ko jorne ke baad ye desh banega, tab tak toh ye 120 crore ikaaiyon mein bataa Taapoo hai, jiske samooh ko India kahte hain. Is India ko jodne ke liye har dharma se Ishaqzaade chahiye taaki har dharma mein Partnership Badhti jaaye................