Ek baar phir ye navsikhiya ya kahein tez aag ki bhatti mein tap raha taaza-taaza Lekhak muddon ki daldal mein phans sa gaya. Kya Karein mudde hi itne hain? Bada kya hai, Paisa ya Aatmasamman? Humein kya chahiye Paisa ya Aatmasamman? Yeh Duniya bhi ajeeb hai aur ye lekhak toh aur bhi ajeeb jo Paisa aur Aatma samman kit ulna kar raha hai. Bina paise ke Aatmasamman bhi ho sakta hai kya? Haan agar bina haath ke Insaano ki Taldir ho sakti hai, Grahan ki raat janme Insaan ka Mukaddar ho sakta hai toh kyon nahi?
Aatma samman un sab ke paas hain jinke paas Aatma ho, Parantu paisa unke paas hai jo har ek sikke ke liye apni aatma ko aaghat pahunchate hain.
Hamare Desh mein Sarkaar ne Garibi Utthan ke liye kain Yojnaayein banayi hain. Jisme Garibon ki garibi jaanchane ke ajeeb paimaane hain. Yah card tumhare paas hona chahiye jisme likha ho ki “ TUM GARIB HO”. Ab ye baat gale nahi utarati ki Paison ki khatir koi Swabhimaani Vyakti kyon apne aap ko Sarkari Kaagaz par Garib likhwaega aur kuchh kutil Dhan Sampann log Apne aap ko Garib darz karwa lete hain. Haryana, U.P. aur Rajasthan aadi Rajyon ke Sainkaro Zilon ke Mukhiya, Zila Panchayat Adhikari Yahaan tak ki Vidhayakon ke paas bhi BPL card hain. Ab kya kahein ise? Sarkaar Bus Stand-Railway Station-Sarkaari Aspataal, sab ke aas paas Deewaron par apni yojnaaon ki bakhaan karti hai. Lucknow, Kanpur aur Agra ke Deewar aur Sadak Haathimay ho gayein hain aur un par Asian Paints Aur Nerolac ke bajaae Mayawati yojnaaen, Vidhayakon, unke bête, beton ke sasur, tatha Sasur ke beton ko Janmdin ki badhaiyan milti hain. Deewaron par ye likha rahta hai ki – ‘ Ab Har Anpadh Shikshit hoga’, ha ha ha, hansi aati hai ye sonch kar ki ek anpadh ise padhega kaise? Kisi Bhale Aadmi ne padh ke suna diya to thik hai warna 5 saal bad phir se likh diya jaaega, thik isi tarah ke josh aur ummid ke sath ki agli baar tak to padhna sikh hi jaaege……
Bahut dino se ek sawaal puchhane ki iccha ho rahi thi, chalo aaj pooch leta hoon ki- “ Kya Hum Sarkaari Niyamon Ke raj mein istemaal kiye jaane wale Pyade matr hain, jo jiske naseeb mein jitni yojnaaein jo daal de wo Raja? Yadi haan to is Prashnn ka uttar katai humein ek Loktantrik Rashtra ka Nagarik Banne ka Adhikaar nahin deta aur Yadi nahin, toh Kyon Humein Wriddha Pension lete waqt, Rashan Kharidate waqt aur kabhi-kabhi Train Bus mein Yatra karte waqt humein Apni Garibi ka Pramaan dena Padta Hai. Is prashnn ka jawaab koi nahin de sakta, Ab Nandan Nilekani ki Adhyakshyata mein ADHAAR CARD (U.I.D.) mil raha hai, ye hai hamaare Bhartiya hone ka pramaan. Bas phir kya hai? Jiske paas nahin hoga to janam se Bhartiya hone ke Baawjood Bhartiya nahin kahla paaega……………….
FROM- ANKIT JHA
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें