Lokpal Ki BhrunHatya
Tarikh 27 december ki thi ,jab savere 9:30 baje ke lagbhag manniye shri Anna Hazare Mumbai ke juhu me isthit Gandhi smarak ko mala pahnakar, samne hi dhyan magna ho gaye .102 degree ke tapman se tap rahi 79 saal ke jawan ki himmat dekhate hi ban rahi thi .Wahin dusari taraph thik 1:30 ghante bad Bharat ke sabse bade mudda bajar me nilami suru hui .Nilami loktantra ka .Karmik mantra shri Narayan sami ne iski suruaat ki ,phir kramsah neta pratipksha shrimati Susama swaraj ,cabinet mantra Kapil sibbal bhi bole aur khub bole .sansad mouka pakar aisa bole wa itna bole ki laga hi nahi ki bajar me lokpal bill ke peshi par bahas chal raha hai ya loktrant-bhrastachar wa sansad par banne wali kisi vyangyatmak dharawahik ki pathkatha likhi ja rahi ho .Kisi ne media ko latada ,to kisi ne samajseviyon ko .Raat ko 10 baje yaad aaya ki sansodhano par voting karwa liya jaye .Kabhi I to kabhi No ki shor kaan phadne lagi .ek taraph rajnitik kabddi chalrahi thi to dusari or Mumbai ke mmrda ground 104 degree high puls rate wa phatne ke kagar par blood pressure ,dihidration se pidit Anna Hazare taktaki lagaye sansad me chal rahe tamashe ka jayja lete rahe .Bahumat ke dum par vipakshake 187 sanshodano ko kharij karte huye ,sattadhari U.P.A ne bill ko loksabha me pesh karwa liya .iss kritya ke saath hi sabhi or charcha hone lagi ki lokpal ka bhavishya abb dr. vipksha ke haath me hai .28 tarikh koyah pass bill rastrapati ke hastakshar ke liye bhej diya gaya . Ya kahe sonogrphi report par hastakshar karwane ke liye Yah din B.J.P ke naam raha puri vipksha ek jut ho gai . siwaye better than nothing kahe jane wale chautha morcha ke jo gat din loksabha se walkout kar gayi thi ek taraf jahan vipaksha ke neta deeng haankte va gaal bajaate gaye wahin Anna Hazare ka sangharsh jawaab de gaya. Na toh wo Delhi ki tarah bheer juta paye na josh. Anan phanan mein Anna Hazarey ne Anshan torne ka elaan kar diya, saath hi Jail Bharo Andolan bhi radd kar diya. ‘ye lo ab to Maa-Baap bhihaar man chuke the.’ Taarikh 29, wo nilami ab ilaaj banker Bazaar se I.C.U pahunch chuki thi. Ilaaz shuru hua, wahi shubh samay, Char Yog. Parantu shuruat se hi Dr. Vipaksha evam Dr. Paksha bacche ko bachane ke mood mein nahi lage. Dr. Vipaksh ke pramukh 48 Min. bole to Dr. Paksha ke pramukh unse saadhe 3 min adhik 52 min. Ek-ek saansad waale compounder bhi 20 min. tak sangharsh karte rahe. Dr. thak gaye toh peechhe se awwaz aayi – boliye! Hum sunana chahte hain. Maa roti rahi, karaahati rahi. Dr. operation ka mazaa lutate rahe. Raat 9 baje tak lagbhag bacche ke maut ki khabar phail chuki thi, ek news channel ke kabil reporter kah diya ki aaj voting nahin ho sakti kyonki Rajya sabha bas 12 baje tak chalti hai. Arthat aadesh aa chuka tha ki bacche ko marna hi hai so 10:52 mein akushal Dr. Mr. Rajneeti Prasad ne anjaam tak pahuncha diya, delivery kar rahe Dr. Paksh Branch ke Dr. Narayansami se navjaat shishu lekar Rajyasabha ki dharaatal par tukron mein bikher diya. Chal rahi saans bhi ruk gayi. Sab munh par char ungali rakh dekhate rahe. Itne mein Aspataal ke malik ne Pack-up kah diya.
Lokpal mar gaya, 48 saal se kokh mein para yeh bill ab bhi kokh mein hi hai. Na team Anna ki joshili dava kaam aayi, Na deshwasiyon ki dua.
Ek television program mein Sansadiya Kaarya rajya mantri Shri Harish Rawat ji ne kahaa ki –“ Hum B.J.P se kahte rahe ki humein Lokpal bill ko janm dene dijiye, jis haalat mein hai usme hi, Baad mein sudridh kar lenge parantu B.J.P hatya par tuli thi so kar diya.
Kya bayaan tha! Upma Alankaar, parantu Rajneeti mein koi vaakya alankrit nahin hoti. Accha hi hua ki Lokpal ki bhrunhatya kar di gayi, yadi nahin bhi hoti to bhi wo mara hua hi paida hota. Matke mein ek chhed uske andar ka saara jal nikaal deti yahaan to chhalni mein pani bhar ke chal rahe the. Bahar aa ke adhmara rahne se accha hai ki kokh mein dum turwa diya jae, Asha to rahegi ki Grishma satra mein accha wa Swastha paida hoga, taaki Kaliyug mein wo daswan avatar banke Bhrashtasur ka vinaash kar sake.
Inhi Shubhkamnaon ke sath A very Blissful & Prosperous Happy New Year.