सोमवार, 17 अक्तूबर 2011

Varn Vyavastha ko Shirsasan karata Aarakshan!!!


Jab kabhi Aarakshan ke sawaal ko lekar koi bhi badi khabar chhapti hai ya NEWS channel par dikhai jaati hai to hamaare desh ke charon kono ke tamaam padhe-likhe warg ke sammanit jaankar tatha Sarwagyon ki shreni ek swar mein bol uthate hain- Ye sab Mandal Commission ki den hai athwa apne Vote Bank pakke karne ke liye netaon ki hor iske liye jimmedar hai. Unki baton se lagta hai ki wo ye sonch ke baithe hain ki hamaare desh se jaatigat bhavnaein wa sonch samaapt ho chuke hain jinhe Netaon ke chunaavi ghoshna ya vaaydon ne punah zinda karne ka kaam kiya hai. Kuch aise bhi honge jo Imaandari se ye sonchte honge ki Itne saalon ki azaadi Shiksha, Bason aur Train ki yatraen, Saarwajanik jagahon mein ek sath ke khan paan ne nischit taur par Yadi Jaatiyata ko maara nahin to kamjor toh kar hi diya hai lekin ye vaastavikta se bilkul saaf hai ki ye sab Galatfahami ke shikaar hain. Aarakshan ki baat par chaunkane walon ko VARN VYAWASTHA par hue asaphal hamalon ke lambe itihaas aur vartamaan ke har pahlu par gaur karne ki jarurat hai. AAj ki sabse badi vidambana ye hai ki Ve log jinhone VARN VYAWASTHAki neev daali tatha use yauvan kaal tak paala, ve hi aaj ke samay Jaat-paat ko samaapt karne kibaat kar rahe hai. Dar asal ve VARN VYAWASTHA ko nahin balki Aarakshan ko khatm karne ki baat kar rahe hain kyonki unhe mahsus hone laga hai ki jis warchaswata ko banana ke  liye unhone vrana vyavstha taiyar kit hi AARAKSHAN ke ne se us ko kayam rakhana kaphi  muskil hai aur ho sakata he ye  warchaswata  unke dwara banaye gaye vrana vyavstha ke niche darje ke logon me hastantarit ho jaye AARAKSHAN paddhti ne wakai me bahoot widamabana paida ki he usne  vrana vyavstha ko kuchh  had tak sar k bal khada kar diya hai –jo sabse niche tha ,use sabse athik labh milna chahiye tatha jo sabse upper tha ,use kisi tarah ka koi labh nahi hai pichhle dino Rajsthan me huain ghatna ne hum sabko jhakjhor diya tha tatha VARN VYAWASTHA ki vartman sthiti ko kaphi had tak ujaagar kar diya hamare samaj ke liye vrana vyavstha ka unnmulan kaphi aawasyak he ,lekin iss maksad ki aur pahla kadam jab nai uthega ,tab tak uas tak pahuchne ki bat baimani hogi aur pahla kadam hai jati atyachar ki sacchaiko pahchanana  aur usko khatm karane ka niscchy karna wah bahut dur bihad aur  goan me hi  nahi apitu IITaur IIM ki aalishan makan me bhi maujood hai hum andhe bane rahenge ,to aage bdhana to dur ,aage badhne ka rasta tak dikhai nahi dega.

कोई टिप्पणी नहीं: