Aandolan ke is Daur Mein::
Jab har ore aandolan ho rahe hain, toh kya us
jalse ka hissa banker Krantikari ban jayein ya apni azadi ke Mayazaal se pare
rahkar apni zindagi ko jalse mein badal dein…
Har kadam par jab Maut khari hi toh bachne ka nahin,
Maut ko maat dene ki tarkeeb sonchani
chahiye. Vishwa ke sabse bade Loktantra ki vyatha sunne ka samay kiske paas hai?
Ek daur tha jab andolan hamare adhikaron ki raksharth hua karte the, aaj virodh
mein hote the. Har baar jab aandolan ka naam suntan hun toh apne desh se pare,
Japan ke joota banana wali factory ke us andolan ki yaad aati jab apne virodh
ka nayab dhang apnaya tha. Aaj hartaal, bandh, andolan aur satyagraha sabhi
alag hai. Baat aaj ki nahin purani hai. Vedna manushya se kuch bara karwati
hai, wah bara kuch bhi ho sakta hai; Sangram, Andolan kuch bhi. Kuch muddon ki
atishyokti nirantar aandolan ka aadhar banti hai toh kabhi bhavnatmak mahatta
kisi andolan ko janm deti hai. Kabhi maine hi andolan ko swatantra bharat ki
sabse badi samasya bataya tha. Vartaman toh bhayavah hai, ek sath desh mein kai
andolan pragati par hain. Dakshin se lekar poorvottar aur Madhya Bharat se
Paschimi-Uttar Bharat. Har ore andolanon ne jor pakad rakha hai. Dakshin va
Madhya mein Bandhon (Koodankulam aur Indira Sagar) ke virodh mein vahaa ke log
Satyagraha par baithe hain toh kahi sarkar ke virodh mein. Pichle kai varshon
mein yadi kuch phir se lautkar aya hai toh wo hai- Andolano ka Daur….. Ek
baar Bahas hui thi, Anna Hazare ji ke andolan par ki kya unke andolan mein sach
mein sarthakta thi ya Media ne ise itna tool diya tha. Tab ek wakta ne vadit kiya ki “ 11 din
ke Anshan ko itna ujagar kiya gaya parantu 11 varshon se Manipur mein Elom
Sharmila Anshan par baithi hain unke bare mein kya?” baat acchi thi aur sahib
hi lekin ye sochkar hans pada ki kya Andolano mein bhi Pratispardha ho sakti
hai? Wo bhi is baat par ki Press ne use kitna tool diya ? Hamare desh ka
itihaas hi aisa hai ki yahaan Pratispardhaon ka ek bhala poora khandan hai.
Andolano ke daur badal gaye par daud nahi. Kuch log kahte hai ki Anna ke
andolan mein JP wali baat nahin thi toh koi ye kahta hai ki Baba Ramdev ko toh
khub dikhaya par Ganga Bachao Andolan ke sadhuon ka jo Anshan par baithe-baithe
mritshayya par let gaye, unka kya? Wah! Desh ke logon mein pratispardha koot-koot kar bhara gaya hai. Jo
andolano mein bhi ek daud laga lete hain ki meri swayatta jyada ya teri? Kisi
andolan se pooch kar dekho ki wo kya sochta hai is daud ke bare mein; ye andhi
daud hai ya Badha daud ya phir Ghurdaud, jismein daud toh koi aur raha hai par
fayda kisi aur ko hai. Kya hai is daud ka arth? Is andolan ke daud mein kahin
mudde peeche na reh jayein aur sirf dhawak hi age reh jayein.