रविवार, 2 अक्टूबर 2011


Bapu Ke Naam Pe
“Vaishnav jan to tene kahiye,
Je peer parai jaane re.”
Narsi Mehta dwara rachit yahi geet Bapu duhraya karte the; Subah sham, apne Ashram mein. Sach toh hai, jo dusaron ka dard naa samjhe woh Insaan hi kya? Khair, Bapu toh bahut kuch kahaa karte the. Bapu ab nahin rahe parantu 142 varsh baad bhi Har 2 Oct. ko unka janm hota hai, har ghar mein, har shuddh Aatma mein, Har Niyamon mein, In short har jagah, is desh ke hark one mein. Bapu, ek aise Aadarsh ka naam hai jisne kai Aadarsh banaaein; har chhoti se chhoti tatha badi se badi ghatna ko seekh ka saadhan banaya. Kisi se puchho Tumhara aadarsh kaun hai? Jawaab kuch bhi ho Matlab Bapu hai, Ya kahe Lakshmi hai.
                           Desh pragati ki path par hai, jaisa ki Main pehle bhi likh chukka hun ki is desh mein har cheez ek mudda hai, to bhala Bapu mudda kyon na ho? Bapu se bada tatha Izzatdar mudda kisi bhi Rajneetigya ke liye kya ho sakta hai. 70 ke Dashak mein Jai Prakash Narayan “Loknayak” bane – Bapu ke naam par, 80 ke dashak mein bheeshan dangon se desh ubra- Bapu ke naam par, 90 ke dashak mein Bajpei aae- Bapu ke naam par, 21st century mein filmein aain- Bapu ke naam par aura b desh mein mudde aae Bapu ke naam par. Jab kabhi desh tharrta hai to Bapun yaad aate hain, Desh jab khush hota hai to Bapu yaad aate hain, Ekjutta mein Bapu, Takraav mein Bapu, Kitaab mein Bapu, Khitaab mein Bapu, Sawaal mein Bapu, Jawaab mein Bapu, Aspataal mein Bapu, Hartaal mein Bapu, Note pe Bapu, Vote mein Bapu.
                                               Is Saal desh mein teen bade Aandolan hue hain- Anna ki April va August Kranti, Ramdev ki Ramleela tatha haal hi mein sampan hui Modi ki Sadbhav Maya. Inhe na aandolan na to Upwas ka naam dete hain. Ek ne Upwas kiya Bilk e liye, Ek ne kiya “Swabhimaan” ke liye toh ek ne Shaktipradarshan ke liye. Ajeeb o gareeb  sameekaran bane “Anna” Gandhi ke Doot mane gaye to Ramdev Rajneetik  galiyaron ke aye navele sapoot wahin Modi ke Upwas ke virodh mein Shankar singh bhi peechhe na rehte hue Sabarmati Ashram ke saamne (ya kahein Gandhi ke kareeb reh kar) saamne ka Rajneetik   T-20 Andolan ko anzaam diya. Bharat mein jab-jab andolan ki baat aati hai toh, Gandhi hi prernashrot rahte hain. Mudda kuch bhi ho par Shantipurna hinsa ka khel dekhte hi banta hai. Bapu ke naam par roz koi Krantikari paida hota hai, Roz who Gandhi ke Aadarshon ka katl karte hain, Bapu ka naam lekar Bapu ko pal-pal par maarte hain.
                                       Hum Bapu ki pooja karte hain, unhe Rashtrapita kehte hain, Kuch Jaankaar Bhojan karke Raat ko Prime Time mein gyan baatne aa jaate hain, Gandhi ke aadarshon ka Vishleshan karte hain. Who hote kaun hain ye karne wale? Gandhi sirf Bharat hi nahi waran samuche Vishwa ke priya hain, Par Desh mein Bapu ke naam par kya ho raha hai, Main to itna hi likh sakta hoon, Baanki aap Gandhi, Lage Raho Munna Bhai tatha Gandhi my Father mein dekh lijiega…………………………..

कोई टिप्पणी नहीं: